Kukke Subrahmanya Temple! Full Tour in Hindi !Pooja Details/Timings/Importance!5000 years Old Temple

Описание к видео Kukke Subrahmanya Temple! Full Tour in Hindi !Pooja Details/Timings/Importance!5000 years Old Temple

The Kukke Subrahmanya Temple is a famous Hindu temple that is located in Karnataka, India. Lord Kartikeya, who is the lord of all serpents, is worshipped here as Lord Subrahmanya; and the temple provides tranquillity and peace like no other. It is located in the heart of the village of Subrahmanya, in Dakshina Kannada, and is surrounded by lush nature on all sides. The mountain Kumara Parvatha overlooks the temple adding a mystical charm. If seen geographically, Shesha Parvatha, a mountain shaped like a six-headed cobra, adjacent to Kumara Parvatha seems to protect the temple.

*** 3 Major Important Poojas at Kukke Subramanya

1. Sarpa Samskara Pooja :
Yeh pooja Kaal Sarp Dosh ya Naag Dosh se chhutkara pane ke liye kiya jata hai. Yeh pooja unmarried log ya couple ko karne ke liye kaha jata hai, Aisa bhi mana jata hai ki jin logo ko life me bahut lambe time se bimaar hai, ya phr jinke bache nhi ho rhe hai, ya wo log jinko skin disease hai, to unhe yha Kukke Subramanya me ek baar aa kar jarur aana chahiye aur jin logo ko bhi skin disease hai unhe Kumaradhara River me dubki laga ke phir pooja karne ke liye mandir me jaana chahiye, esse unke life jitne bhi problem hai wo dur ho jate hai, chahe wo unke skin ka disease ho, ya unke life ka growth ho. Es pooja ko karne ke liye Bhakto Ko Mandir ke paas 2 din tak rehna padta hai, aur es pooja me maximum 4 log hi baith skte hai.

2. Ashlesha Bali Pooja :
Ashlesha Bali Poja is one of the important pooja for those who suffer from Kala Sarp Dosh or Rahu Ketu Dosh. Yeh pooja Sharvaan me, Kartik me aur Magh Mahine Me bahut subh mana jata hai. Yeh Pooja mandir me subh 7:00 bje aur subh 9:15 bje ki jaati hai. Ye pooja ko perform karne se pahle mandir ke purohit ke sath sankalp lete hai aur phir es pooja ki aradhna ki jati hai.


3. Nagaprathishta Pooja :
Naagprathishta pooja bhi kaal sarp dosh se mukti ke liye kiya jata hai. Ye pooja Kukke Subramanya Mandir ke bahar bane chaturbhuj me nagaprathishta mandapam me kiya jata hai. Pooja ekadashi aur upvas ke din chhod kar sabhi din hota hai.


*HISTORY*

Itihaas ke anusaar, Skand Puran ke chapter Sahyadri Khanda me Subrahmanya ka zikr hai. As per the Puranas, the Subrahmanya is on the banks of the River Dhara. Shankar Vijaya ke Shashtro me, Anandagiri ne ye zikr kiya hai ki Shri Adi Shankara Charya ne es jagah ki khoja kiya tha.
Kukke Subramanya Temple ka origin Skand Puran me bahut achse btaya gya hai. Btya jata hai ki Jab Naagraj Vasuki Garud se bachne ke liye ek gufa me chhip gaye the. Naagraj Vasuki Bhagwan Shivji Ke bahut bade bhakt Hai. Tabhi waha se Mahan Rishi Muni Kshyap Ji Ki nazar padi, to unhone Garud se Ramanaka Island jaake waha Bhukh mitane ke liye bola aur sath hi sath unhone Naagraj Vsuki ko Bhagwan Shiv ki aardhana karne ke liye bola, tabhi Bhagwan Shiv appear huye aur unhone btya ki agle yug me unke putar aayenge Kartikeya Ji (Jinka Naam Subramanya Bhi Hai) aur wo unki raksha karenge. Waise hi agle yug me, Raakshas Tarkasur ka Vadh karne ke baad apne Bhai Ganesh Ji ke sath kumar parvat pahuche tabhi Devraj Inder ne unka swagat kiya, aur unhe apni beti Devsena ke sath Shaadi ka prastav diya Bhagwan Subramanya ko.

Temple Link : https://itms.kar.nic.in/hrcehome/inde...

👇🏻Don’t forget to check out this best luxury hotel in Kukke Subramanya: The Aurum subramanya : My best stay till date:

   • Best Luxury Hotel in Kukke Subrahmany...  

👇🏻For more travel Information & stunning picture, You can follow me on Instagram :
  / traveller_khushboo  

#kukkesubramanya #subrahmanya #Lordsubrahmanya #vasuki #garuda #karnataka #celebrity #temple #hindu #hinduism #lordshiva #history #mythology #hindustan #bhagwan #Kartikeya #shiv #bhagwanshiv #Swamisubrahmanya #Theaurumsubrahmanya

Комментарии

Информация по комментариям в разработке