Bhardo Jholi Meri Mere Ghaziع (Part 2) || Poetry by Syeda Falak Zhera || 2024_25

Описание к видео Bhardo Jholi Meri Mere Ghaziع (Part 2) || Poetry by Syeda Falak Zhera || 2024_25

Kalam: Bhardo Jholi Meri Mere Ghaziع
Poetry: Falak Zehra Rizvi
Audio:OneTen Studio
Video: TNA Records
Label: FZR


L Y R I C S:
Bharde Jholi meri Mola Ghazi lout kar Me na jaongi Khali

Ayena hai tu Mola Aliع ka
Tu Mohabbat hai Ibne Aliع ki
Bibi Zainabس ka tu Asraa hai
Tughse Binte Payamberص razi

Bhar de jholi meri mere Ghaziع lout kar Me na jaongi khali

Abbasع Fatimaس ki duaon ka naam hai
Abbasع hi Khuda ki Ataon ka naam hai
Ummul Baneen ki sari wafaon ka naam hai
Beemar ke lye Jo Shifaon ka naam hai
Ayega Lout kar to kahega yahi khuda
Ye Dushmane Aliع ki sazaon ka naam hai
Mera Abbasع chota wali hai
Han ye Zainabس ki nade Aliع hai
Ibne Zahraس ko jisse Sukoon hai
Esi Dharas hai Abbas_e_Ghaziع

Bharde Jholi meri Mola Ghaziع lout kar Me na jaongi khali

Do Duaen hen Binte Nabiص ki
Jo Baraye Hussainع thi mangi
Ek Dua hum Azadar hen or
Ek Dua ap hen Mola Ghaziع


Bekas ke Waste hai Sahara tera Alam
Har doobte hue ko kinara tera Alam
Tareekion me Humko ujala tera Alam
Allah ke Karam ka sitara tera Alam
Jo Jo bhi munkirane Aliع hen jahan me
Karta hai unpe aj tabarra tera Alam
Jis jaga ye Alam hai kahi per
Iski soorat me tu hai Zameen per
Iske Saye me krte hen momin
Aj bhi Shah ki Azadari

Ishqe Khuda ki bolti tasweer karbala
Alam me misle Aya tatheer karbala
Sare Hussainion ki hai Tanveer karbala
Afzal hai sabse Ghaziع ki jageer Karbala
Khul jayen Hum Ghareebon ke Allah Raste
Molaع bulayen apni zyarat ke Waste
Dekhen hum badshahi Tumhari
Dekhen hum shehnshahi tumhari
Karbala zindagi hai humari
Karbala bandagi hai humari

Bharde Jholi meri mere Ghaziع lout kar Me na jaongi khali

Ek Arsa hua mere Molaع
Humne Roza nhi tera dekha
Jald izne Zyarat ata ho
Ayen Roze pe tere mawali

Bharde Jholi meri mere Ghaziع lout kar Me na jaongi khali


#karbala #labbaikyahussain #molaabbas #manqabat #falakzehrarizvi

Комментарии

Информация по комментариям в разработке