Har Lehza Ba Shakal Aan || Qawwali By Sarfaraz Chishti || Present By Mehfil E Samaa Qawwali

Описание к видео Har Lehza Ba Shakal Aan || Qawwali By Sarfaraz Chishti || Present By Mehfil E Samaa Qawwali

TRANSLATION

یار من با کمال رعنائ
خود تماشہ و خود تماشائ
Mera “YAAR” mukammil husn ke sath jalwagar hua,
Jo "KHUD" jalwon ka banane wala aur “KHUD” un jalwon ka dekhne wala hai.

ہمنے بیپرده تُجھے مہجبیں دیکھ لیا
آب نہ کر پرده کے او پردانشیں دیکھ لی
Ae Noorani jabeen(Forehead) waaley
humne tujhe bepardah dekh liya,
O! pardanashe’en ab pardah na kar humne tera jalwa dekh liya.

ہمنے دیکھا تُجھے آنکھوں کی سِیاہ پُتلی میں
سات پردو میں تُجھے پاردہ نشیں دیکھ لیا
Humne dekha hai tujhe aankhon ki siyaah putli mein,
Saat(7) Pard’on se bhi ae pardanasheen tera jalwa humne dekh liya.

ہم نظربزوں سے تو چھپ نہ سکا جانیجہاں
تو جہاں جاکے چھپا ہمنے وہی دیکھ لیا
Muhabbat karne waalo’n ki nazron se “TU” chup na saka
ae “JAAN-E-JAHAA’N”
“TU” jahan jahan jis jis mein jalwagar ho ke chupa
humne “TUJHE” waha dekh liya.

تیرے دیدار کی تھی ہمکو تمنا سو تُجھے
لوگ دیکھنغے وہاں ہمنے یہیں دیکھ لیا
“TERE” deedar ki ahele muhabbat ko tamanna thi,
Duniyavi masghul log to tera jalwa qayamat ke din dekhenge,
lekin ahele muhabbat ne to teri shifat se bhare tere dosto’n mein
tera jalwa yahi dekh liya.

ہر لحظہ بہ شكلے بتِ عيار بر آمد
bayak waqt "WO AAQIL" mehbub ek nayi hi shakal mein zaahir hota hai

عابد شودی، زاہد شدی، واعظ شودی لیکن
Ibadat guzar ho sakta hai, parhezgar ho sakta hai,
wa’az bayaan karne wala ho sakta hai lekin

صوفی نہ شدی مشربے رندا زه شناسی
Sufi nahi ho sakta aur ye baat mohabbat karne waale aashiq behtar jante hein.

ہر دم بہ لباس دگر آں يار بر آمد
Har bar “WO” alag libas ya’ani alag alag shakal mein za’ahir hota hai,

ہر دم بہ لباس دگر آں يار بر آمد، گہہ پير و جواں شد
Har bar “WO” alag libas ya’ani alag alag shakal mein za’ahir hota hai,
kabhi budhe ki shakal mein za’ahir hua to kabhi jawan ki shakal mein.

خود کوزہ و خود کوزہ گر و خود گلِ کوزہ
“WO KHUD” kuza(bartan) hai,
“KHUD” kuza banane wala bhi hai,
aur “KHUD” us kuze ki matti hai

خود کوزہ و خود کوزہ گر و خود گلِ کوزہ، خود رندِ سبوکش
“WO KHUD” kuza(bartan) hai,
“KHUD” kuza banane wala bhi hai,
aur “KHUD” us kuze ki matti hai,
aur “KHUD” us kuze se peene wala hai

خود بر سرِ آں کوزہ خریدار برآمد
Aur phir “KHUD” us kuzey ke kharidar ke taur pe za’ahir hota hai,

بشکست رواں شد
Aur “USKE” liye us kuzey ko tor(توڑ) dena bhi jaa.iz hai

خود بر سرِ آں کوزہ خریدار برآمد، بشکست رواں شد
Aur phir “KHUD” us kuzey ke kharidar ke taur pe za’ahir hota hai,
Aur “USKE” liye us kuzey ko tor(توڑ) dena bhi jaa.iz hai

نے نے كہ ہمو بود كہ می آمد و می رفت
“WO WAHI” tha jo har zamane mein aata raha aur ja’ata raha,

تا عاقبت آں شكلِ عرب وار برآمد
Bil aakhir wo aik “arab(ﷺ)” ki shakal mein za’ahir hua,

دارائے جہاں شد
Aur wohi(ﷺ) jahaan ka baadshah hai.

ہمنے بیپرده تُجھے مہجبیں دیکھ لیا
Ae Noorani jabeen(Forehead) waaley
humne tujhe bepardah dekh liya,

حَوصْلا دیکھو میری سادَہ دِل کا ياروں، عشق کرتا ہوں میں مگر عشق کو میں سمجھا نہیں
Hausla dekho meri sa’ada dili ka, ishq to karta hu lekin ishq ko mein samjha hi nahi,

عاقل والوں میرا معیار جنوں تو دیکھو، اُسپے مارتا ہو جیسے آنکھ سے دیکھا ہی نہیں
Aql waalon mere ishaq ki hadd dekho, mein us “ZAAT” pe marta hu jo
mashriq-o-magrib ka malik hai jisey mene aankh se dekha hi nahi hai

عشق کے بازار میں خود کو لوٹا کر دیکھ لے
Us aik “KHUDA” ke ishq mein khud ko loota kar to dekh

عشق کے بازار میں خود کو لوٹا کر دیکھ لے، یار خود موجود ہے پردہ اٹھا کر دیکھ لے
Us aik “KHUDA” ke ishq mein khud ko loota kar to dekh,
“WO” to hama-waqt maujood hai teri ragey jaan se bhi karib,
aik bar pardah hata kar bhi dekh le

جُسْتُجُو کرتا ہے کیا دَیر و حَرَم میں یار کی
“USEY” sirf deir o haram ke zariye dhundhne ki justuju kyun rakhta hai

اپنے دل میں عشق کی شَمْع جَلا کر دیکھ لے
Apne dil mein ishaq ki shama jala ya’ani, wohi karne lag ja jo “WO” chahta hai,
phir dekh tujhe kya kya hasil hoga.

: CONTINUE IN PINNED COMMENT:

Комментарии

Информация по комментариям в разработке