HUM NE AANKHO SE DEKHA NAHI HAI MAGAR || Naat by Abdul kareem | Hum ne Aakho se dekha Nahi Hai Naat

Описание к видео HUM NE AANKHO SE DEKHA NAHI HAI MAGAR || Naat by Abdul kareem | Hum ne Aakho se dekha Nahi Hai Naat

HUM NE AANKHO SE DEKHA NAHI HAI MAGAR || Naat by Abdul kareem | Hum ne Aakho se dekha Nahi Hai Naat




Humne Aankhon Se Dekha Nahi Hai Magar
Unki Tasweer Seenay Main Mojood Hai

Jisne La Kar Kalaam-e-Ilahi Diya
Woh Muhammad ﷺ Madinay Main Mojood Hai



Phool Khiltay Hain Parh Parh Ke Sallay Alaa Jhoom Kar Keh Rahi Hai Yeh Baad-e-Sabaa

Aisi Khushboo Chaman Ke Gullo'n Main Kahan
Jo Nabi ﷺ Ke Pasinay Main Mojood Hai



Humne Maana Ke Jannat Bohat Hai Hasee'n
Chhor Kar Hum Madinah Na Jaae'n Kahee'n

Yu'n To Jannat Main Sab Hai, Madinah Nahi
Aur Jannat Madinay Main Mojood Hai



Chhorna Tera Taiba Gawara Nahi
Saaray Aalam Main Aisa Nazaraa Nahi

Aisa Manzar Zamanay Ne Dekha Nahi
Jaisa Manzar Madinay Main Mojood Hai



Woh Abu Bakr, Farooq, Usma'n, Ali
Hain Yeh Sab Unke Deen-e-Mubee'n Ke Faqeeh

Woh Faqeeho'n Ke Afsar Shah-e-Anbia
Woh Shehanshah Madinay Main Mojood Hai



Be Sahaaro'n Ko Seenay Se Lipta Liya
Jisne Jo Manga Usko Ataa Kar Diya

Woh Faqeero'n Ke Yawar Shah-e-Anbia
Woh Shehanshah Madinay Main Mojood Hai

Комментарии

Информация по комментариям в разработке