Manqabat Shehzada Ali Asghar AS Zain Jaffery, Jashn Bazm-E-Ali Imamia Trust Haiderabad

Описание к видео Manqabat Shehzada Ali Asghar AS Zain Jaffery, Jashn Bazm-E-Ali Imamia Trust Haiderabad

Manqabat Shehzada Ali Asghar AS
Kamzor zra b na samajhna ghalati se.
Asghar k b hey nam ka aghaz Ali se.

Mansub hen ghum apnay Ghum-e-Aal-e-Nabi se.
Khushya'n hen juree'n in k gharanay ki khushi se.

Mushkil me ye Islam k kam aae hen aksar.
Asghar k kamalat b hen Nad-e-Ali se.

Asghar ne kaha: "jung kahan khatm hui hey?"
Ae ahl-e-sitam ronay lagay tum to abhi se.

Kehta tha ye Masoom k honto'n ka tabassum:
"Hum jan b kar dete hen qurban khushi se."

Hathyar ka mohtaj nahi hey wo sipahi.
Kuffar k lashkar ko ura day jo hansi se.

Wo kaam kia Asgha-e-Besheer ne hans kar,
Ho paya nahi Zain jo Kaam or kisi se.
{Zain Jafri}

Manqabat Mola Ali AS

Qura'n me agar zikr Ali (AS) ka nhi dekha.
Makka to gae, Khana-e-Kaba nhi dekha.

Jab tak na hua bhai ka didar mayassar.
Chehray ne Khuda k koi chehra nhi dekha.

Goadi me jo Quran sunata ho Nabi ko.
Eisa (AS) ne b aesa koi bachcha nhi dekha.

Ik zikr Ali ka hey or ik taigh Ali ki.
Jo dono se chhup jae wo shajra nhi dekha.

Wo mujh ko Najaf jata hua dekh rhi thi.
Jannat ki taraf mene zra sa nhi dekha.

Jo umr basar karte rahe bughz-e-Ali me.
Anjam unho ne koi acha nhi dekha.

Mola ne mere di hen tujhey teen talaqain.
Yoon mene teri samt ae dunya nhi dekha.

Ik shor bohat qabr andheri ka suna tha.
Hum ne to kahi koi andhera nhi dekha.

Mohlat hey abhi, bad me phr un se na kehna.
"Q meri taraf Ap ne, Mola, nhi dekha.

Jo dekh rha hey wo nikaho'n ko bohat hey.
Parwah nahi Zain k kia kia nahi dekha.

{Zain Jafrie

Комментарии

Информация по комментариям в разработке