Tumhare Darshan Ki Bela - Bhajan | MAAsterG

Описание к видео Tumhare Darshan Ki Bela - Bhajan | MAAsterG

LYRICS -

Tumhare darshan ki bela
Ye mausam raas rachaane ka
Lite ulhaas ki saansein
Samay masti me jeene ka

Ye taare jhilmilate hain
Hawayin gungunati hain
Chandrma ki sheetal kirne
Tumhare geet gaati hain
Prabhu hi hain sabke aadhar
Humein ehsaas karaati hain

Prabhu ke prem saagar mein
Humein ab doob jaana hai
Prabhu ke hi vachno pe ab
Humein khud ko mitana hai
Khona hai humko ab to
Khokar hi sab paaana hai


Tumhari aankhon ki jyoti jagaa gayi jyot antas mein
Tumhari amrit si vaani dubaa gayi humko anhad mein
Tumhare chehre ki muskaan se hai noor jeeven mein...

Комментарии

Информация по комментариям в разработке