Aisi Haalat Mein Tha Lasha Abbas Ka (by Syed Ali Zaidi)

Описание к видео Aisi Haalat Mein Tha Lasha Abbas Ka (by Syed Ali Zaidi)

Recited by Syed Ali Zaidi in Chicago, USA on 8/21/2023
Shayer: Hasnain Akber Sahab

Mein Uthaata Raha Woh Bikharta Raha


Aisi Halat Mein Tha Laasha Abbas Ka, Mein Uthaata Raha Woh Bhikarta Raha

Dadi Zahra Ki Pamaal Thi Youn Dua Mein Uthaata Raha Woh Bikharta Raha



Meine Chaha Ke Mayyat Woh Yakja Rahe
Apne Haathon Se Baazu Chacha Ke Chuney
Patharon Se Laeeno Ne Maara Unhe
Tukrhey Tukhrey Mujhe Baazu Unke Miley
Koi Baazu Bhi Unka Salamat Na Tha

…Mein Uthaata Raha Woh Bikharta Raha



Apni Halat Karoon Kis Tarhan Se Bayan
Aik Manzar Pe Meri Bandhi Hichkiyan
Pehluon Par Youn Naizon Ke Kuch Waar They
Yaad Dadi Ki Aane Lagi Pasliyan
Youn Shikasta Tha Laasha Sambhalta Na Tha


…Mein Uthaata Raha Woh Bikharta Raha


Daayen Jaanib Se Mayyat Uthaayi Agar
Baayen Janib Kiya Hadiyon Ne Safar
Laash Pamaal Lashkar Ne Iss Tarhan Ki
Sher Ke Tukrhe Tukrhey Hui Thi Kamar
Mere Kandon Pe Laasha Taher Na Saka

…Mein Uthaata Raha Woh Bikharta Raha



Ran Mein Larhte Huey Zeen Se Jab Gira
Sar Juda Tan Juda Dono Baazu Juda
Mera Batees Barson Ka Karhiyal Chacha
Chey Maheene Ke Asghar Ke Jitna Bacha
Uspe Ghorhon Ne Pamaal Aisa Kia

…Mein Uthaata Raha Woh Bikharta Raha



Teer Se Jis Garhi Ran Mein Paani Baha
Aisa Lagta Tha Ghazi Ko Aayi Qaza
Misle Ghazi Tha Mashkeeza Abbas Ka
Na Woh Khaime Gaya Na Yeh Khaime Gaya
Bawafa Ka Tha Mashkeeza Bhi Bawafa

…Mein Uthaata Raha Woh Bikharta Raha


Qafila Laut Kar Jab Madine Gaya
Aa Ke Akbar Yeh Ummal Baneen Ne Kaha
Mera Abbas Maqtal Mein Kaise Larha
Beta Sajjad Kya Haal Laashe Ka Tha
Maa Se Sajjad Ro Kar Yeh Kehne Laga

…Mein Uthaata Raha Woh Bikharta Raha

Комментарии

Информация по комментариям в разработке