MS Dhoni ( Story Between Two Run Outs ) | Official Music Video | Tabrez Chaudhary | Panoti Boys

Описание к видео MS Dhoni ( Story Between Two Run Outs ) | Official Music Video | Tabrez Chaudhary | Panoti Boys

This Video is dedicated to the living legend MS Dhoni.
He has done a lot for our country and has ruled the hearts of entire world.
For making our country proud we are presenting a Rap video for Mahi as our way to say thanks.

Song name - Story Of Two Run Outs
Rap and Lyrics- Tabrez Chaudhary
DOP - Inzamam Khan

Lyrics

2004 ki hai baat he enters in the ground
Run out hua pehli ball aur hasne lagaa crowd
Sabne bolaa doobega,ye sapnaa jaldi tootega par
Beet gaye hain saal 19 aur pura India Proud

That defines, mere bhai, he is born to fly high
Bowlers darte bowling karte, jab jab vo balla ghumaaye
Captain cool, karta game finish, helicopter shot
Teeno icc ki trophy jeet, machaayi hai tabahi

Country on the top rahi, soch bhi out of the box rahi,
Sab Chodh k khela cricket vo, aayi andar se voice yahi,
Ab choice nahi, Sunni Mujhko koi noise nahi,
Jo rokne vaala hai tujhko, Tere andar ab vo khauf nahi,
Ab jaan lagaa tu shaan se bas, Jo soch liyaa aasaan hai sab,
Jo doubt karey naadaan hai ye, Tu kheltaa jaa sammaan se ab,
pareshaan naa ho, Bas dhyaan lagaa, naa baato par tu kaan lagaa,
tu dekhnaa sapne purey hain
Bas thodey se armaan jagaa !!

Phir phaad k aaye sabse aagey, leading from the front
20 world cup jeet k bolaa, 50 is vision
Aur jeet dilaayi maar k chakka, 50 is too done
Champions trophy jeetke, He said, Hello Everyone

Log bolte hain, buddha ho gya hai, chodh de bas ab, Youngster ko mauqaa do bhai

Sun


Daudta ab bhi bhi aise jaise ladka 17 saal kaa vo
Batting down the order, phir bhi record hai kamaal kaa, vo to
Chennai ko bhi leke dauda top pe apne dum pe jaise
Yuddh me raaja saamne aake, beech se dushman phaadtaa ho

Apne deshko jitaya hai naa jaane kitni baar, milti haar
To phir uskaa leta apne sar pe bhaar, hai tayyaar phir ek baar, vo maidaan me utarne ko
Dhoni dhoni sunney ko hain kaan beqaraar,
13 saal tak sambhaali usne chennai ki kamaan hai
Baat samajh pyaare pure desh ki vo jaan hai
Baap ko nahi sikhaate, bacche paida karna
Daddys Army Bolte, mere bete jhuk k salaam kar/ de


Saal 2019 aur tha World cup semifinal, Purey desh Ki aankhein Tv pe, new Zealand was rival,
Wicket pe wicket girey, jeet ka nahi koi scope
sabko tha belief, dhoni hai to hai abhi bhi hope.
Enters in the ground again, Jaddu uske saath me tha
Brilliant jaddu, captain cool, match bhi lag bhag haath me tha
Out hua jab jaddu purey desh me ek sannaata tha
Backward point me maara chakkaa, bouncer ball pe chaata tha
Chehek uthaa phir ground bhi puraa, maahi hai to mumkin hai
He will take us through once more and dhoni dhoni everywhere

Khaamoshi si chaayi thi maano sunn thaa puraa crowd hua
Umpire bhi chaunk gaya, jab maahi tha run out hua…

Rok naa paayaaa aansu vo bhi as he was leaving the ground.
Saath me uske royaa puraa desh without making a sound.

Kisey pataa tha, neeli jersey me dhoni ko hum aakhri baar dekh rahe hain.
15th august 2020, jaadugar hum sabko chodh kar chalaa gaya
Aur Jo puchte hain kya kamayaa usne
Kyaa kamaya usne?
Pehle match me run out, bohot log hasey
Last match me run out
Puraa desh royaa….


#dhoni
#dhonirap
#csk
#dhonifans
#everydhonifanever
#ipl2023
#rapbattle
#dhonirapbattle
#msdians

Комментарии

Информация по комментариям в разработке