Very rare song by Noor Jehan - Ae Mere Humnasheen

Описание к видео Very rare song by Noor Jehan - Ae Mere Humnasheen

Another very rare song by the great Noor Jehan....this is in my opinion the best version of the song !....enjoy
--------------------------------------------

Ae mere humnasheen chal kahin aur chal
Is chaman mein ab apna guzaara nahin

Baat hoti gullon tak toh seh lete hum
Ab toh kaanton pe bhi haq humaara nahin

*
Apni zulfon ko rukh se hata lijiye
Mera zoqh-e-nazar aazma lijiye

Aaj ghar se chala hoon yehi soch kar
Yaa toh nazrein nahi ya nazaara nahin

Ae mere humnasheen chal kahin aur chal
Is chaman mein ab apna guzaara nahin

*
Di sadaa daar par aur kabhi toor par
Kis jagah meine tujhko pukaara nahin

Thonkarein youn khilaane se kya faida
Saaf kehdo ke milna guwaara nahin

Ae mere humnasheen chal kahin aur chal
Is chaman mein ab apna guzaara nahin

*
Ahle gulshan ko khoon ki zuroorat pari
Sab se pehle hi gardan humari katti

Phir bhi kehte hain humse yeh ahle chaman
Yeh chaman hai humaara tumhaara nahin

Ae mere humnasheen chal kahin aur chal
Is chaman mein ab apna guzaara nahin

*
Aaj aaye ho tum kal chale jao gay
Yeh mohabbat ko apni guwaara nahi

Umr bhar ka sahara banoo toh banoo
Do ghari ka sahara, sahara nahin

Ae mere humnasheen

*
Zaalimon apni qismat pe naazaan na ho
Daur badle ga yeh waqt ki baat hai

Woh yakheenan sune ga sadaain meri
Kya tumhara Khuda hai humaara nahin

Ae mere humnasheen chal kahin aur chal
Is chaman mein ab apna guzaara nahin

Baat hoti gullon tak toh seh lete hum
Ab toh kaanton pe bhi haq humaara nahin

Ae mere humnasheen..........

Комментарии

Информация по комментариям в разработке