Hai Ibaadat Meri Naat E Khair Ul Wara | Nusrat Fateh Ali Khan | Naat | Qawwali | IslamicSound

Описание к видео Hai Ibaadat Meri Naat E Khair Ul Wara | Nusrat Fateh Ali Khan | Naat | Qawwali | IslamicSound

#IslamicSound #NFAK #Qawwali

00:00 Intro Saaz
02:41 Intro Words and Vocals
09:13 Main Qawwali
49:20 End with Vocals and ending lines

Excellent Naat in Qawwali form. Beautifully presented in the amazing voice of one of the Legends of Qawwali, Janaab Nusrat Fateh Ali Khan Sahib.

IslamicSound is the only channel to have this exclusive version of this Qawwali

Hai Ibaadat Meri Naat-E-Khair Ul Wara
Mujh Ko Duniya Ki Parva Nahi Hai (Live, Full 53 minute Version)
by
Nusrat Fateh Ali Khan

Lyrics:
______

Hai Ibadat meri Naat-E-Khair Ul Wara
Mujh ko duniya ki parva nahi hai

Naat parhta hoon Naat sunta hoon
Mein mazey leta hoon Khudai ke

Sukhan ko rutba mila hai meri zuban ke liye
Zuban mili hai mujhe Naat ke bayaan ke liye

Nisbat-e-Mustafa meri pehchan hai
Mujh ko dozakh ka khatka nahi hai

Jissey Kamli Wale se nisbat nahi hai
Qabool uss ki koi Ibadat nahi hai

Mujhe mil gayi dono alam ki shahi
Mera Un ke mangton mein naam aagaya hai

Mill gayi hai sanad Ghulami ki
Apni kismat pe kyon na naaz karoon

Aagaye meri maseehai ko rashk-e-Isaa
Deikhti reh gayi khairat se ye duniya mujh ko

Iss nishani ke jo sag nahi maare jaate
Ta Hashr rahe mere gale mein patta Un ka

Gale mein tokey Ghulami hai Shah-E-Batha ka
Bhala ye kam hai nishan mujh be nishaan ke liye

Ja ke ghar ghar sajaata hoon mein Mehfilein
Apne Mehboob ki Rab ke Matloob ki
Sadqa Sarkar ka hai mila martaba
Kya ye duniya mein milta nahi hai

Kitna hai ye karam rakhte hein jo bharam
Rakhte hein Wo bharam Syed-E-Mohtaram Shah-E-Wala Hasham

Naat-E-Sarkar se shaad hai dil mera
Aur kuch dil ko bhata nahi hai

Naam leta hoon mein Muhammed ka
Zikr-E-Parvardigaar karta hoon

Mera moon liya choom Rooh Ul Ameen ne
Liya jiss waqt mein ne Naam-E-Muhammed

Naam-E-naami Rasool-E-Akram ka
Harr museebat mein kaam aata hai

Yaad jab mujh ko Madeene ki fiza aati
Saans leta hoon tho Jannat ki hawa aati hai

Kya naam-E-Muhammed ne sharaf paaya hai
Ye Naam jab bhi labon parr lehraya hai
Allah ne bheja hai waheen jiss pe Darood
Aur uss pe farishton ka Salaam aaya hai

Dil mein jiss dil mein Mohabbat-E-Khair Ul Anaam hai
Dozakh ki aag yakeenan uss pe haraam hai

Mujh parr nisaar hone lagi mastiyan tamaam
Mein zikr karr raha tha Muhammed ke naam ka

Kun Khuda ne kaha khalq sab ko kiya
Jiss ki khatir kaha Wo tho pehle se tha

Aap ke noor se noor sab ko mila
Aap sa koi deikha nahi hai

Tu hua sab kuch hua
Jab Tu na tha kuch bhi na tha

Na falaq na chand taare na sehar na raat hoti
Na Tera jamaal hota na ye kainaat hoti

Tu sarapa Noor Tera sab gharana noor ka
Teri nasl-E-Paak mein hai bacha bacha noor ka

Na hua Aap sa paida koi Mumtaz Nabi
Aap parr khatm hui izzat tho aala nasabi

Iss taraf bhi ik nigah-e-noor ae Noor-E-Ilah
Mein sarapa masiyat Tu sarapa Noor hai

Lab noor
Jabeen noor
Dahan noor
Nazar noor
Gaisu ki chamak noor
Imame ki dhamak noor
Hai ghar ka ghar khaak magar Noor ka ghar Noor

Harr sundal gunal uthey ashiq da dil dholey
Husn Tere di sift ki akhan kafir Kalma bole

Tumhi tho ho bass Tumhi tho ho
Masnad nasheed-e-alam-imkaan Tumhi tho ho bas Tumhi tho ho

Tumhi tho ho bass Tumhi tho ho
Anjuman ki sham-e-firozan Tumhi tho ho bass Tumhi tho ho

Duniya o akhirat ka sahara Tumhari zaat
Dono jahaan ke wali o Sultan Tumhi tho ho

Arsh Noori farsh noori zarra zarra noori
Noor ka Darbar hai harr samt chaya noor hai

Tu na hota tho na hota do jahan ka intezaam
Tu zameen ka noor hai Tu aasmaan ka noor hai

Phire zamane mein chaar janib nigar-e-yakta Tumhi ko deikha
Haseen deikhe jameel deikhe parr eik Tum sa Tumhi ko deikha

Patta patta Sana khwan hai Sarkar ka
Naat parhte hein shajar O hajar parr mala

Aap jaisa koi Shah-E-Arz O Samaa
Aur nazron mein jachta nahi hai

Hai ye harr dam dua jab ho waqt-e-nazaa
Aap ho uss ghari saamne Mustafa
Hai tamana yehi akhri ba Khuda aur koi tamana nahi hai

Azmat-e-zindagi nisbat-E-Mustafa
Maqsad-e-bandagi midhat-e-Mustafa

Hai Ibadat meri Naat-E-Khair Ul Wara
Mujh ko duniya ki parva nahi hai

______________________________________

Click here to Subscribe to IslamicSound YouTube Channel:
http://www.youtube.com/c/islamicsound...

IslamicSound Videos:
   • Hazoor Aisa Koi Intezaam Ho Jaye | Sy...  

About IslamicSound YouTube Channel:
______________________________________

IslamicSound YouTube Channel presents religiously and generally motivational videos. Uploads are Qawwalis, Naats, Manqabats, Hamds, Ahdees, Motivational Clips and much more.

Every week there is a Live Stream presented by Muhammed Usman Qadri Chishti called Ruhani Duniya. Watch this live stream to learn about the Spiritual World. Subscribe and Click the bell selecting "All" to be notified of the Live stream and all video uploads.

Thanks for watching📺

SUBSCRIBE | LIKE | COMMENT | SHARE

Комментарии

Информация по комментариям в разработке