5 Fingers of Death | Vichaar | MTV Hustle

Описание к видео 5 Fingers of Death | Vichaar | MTV Hustle

5 Fingers of Death is a hard-hitting lyrical showcase, where each beat switch represents one finger, creating a relentless series of bars and punchlines aimed at overpowering the opponent. The track’s progression through five unique beats amplifies the intensity, building an unstoppable lyrical attack

Songs credit
Track Name: 5 Fingers of Death
Written & Performed By: VICHAAR
Music Producer: Aditya Pushkarna
Primary Artist: VICHAAR
Track Name: 5 Fingers of Death
Singer/Performed By/Cast: VICHAAR
Lyricist/Written By: VICHAAR
Music Produced By: Aditya Pushkarna
Co-Composer: Aditya Pushkarna
Music Label: Saregama
Genre: Hip Hop
Sub-Genre: Rap
Language:Hindi
Country of Origin/Source: India



Lyrics

5 FINGERS OF DEATH

Hook:

Kaagaz chheen
Taaqat chheen


Pakk chuka hoon kaafi ab
Tha pehle bhi toh bola tujhe
mashwara nahi chahiye paas hi rakh
Toh kyun kaate parr
yahan baaghi sab hilaade jagg
Gira ke daaru sab iraade par
Hai laundon ke ab aa rahe kaafi
kaante se hi kaatun sar phir chhedun svar
Saja Ke rakhee teri jagaah hai sirhaane par
Mere rishte ni baney baawe saafi par

Tu mudda toh kar
mera chhod baba aake dega mukke bhar
Zindagi se seekha thoda ruk ke chal na
dall badal bas ghooma tha main darr-ba-dar
Par aaya waapas main giraake kal
dikhaane bal maidaan mein gard
Toh saare rakhe maine ji nishaane par

Kaaryakarta kaarigar kinaare karke saare ddar
Hai tabhi dikhti ni shikan mere maathe par
Saare sochein kaatne mein maahir
par hain kaate fal
Kabhi rishton ko tola nahi taraazu par
Mera launda kaali siyaahi chhaape baazu par
Hai inn pannon pe laga khoon baaju kar
hai naazukh pal toh de deta hoon aag ugall
tajurba aisa lage hone waala 60 hoon kal
Tu dekh ke toh chal baawa phisalna saabun par

Kabhi nahi gira peeth ke bal
Ba lagey teri back hai breakable
Aa leke jaaun tujhe lake ke tal
Saath waale ko bol na de dakhal
Vichaar kar ke baitha 6 qatal
Kirdaar puraane lekin nayi shakal
Naya din lekin wahi bhassad
Jo Khoon-khaar baney usey de knuckle
Gunn chaar bhare tujh mein phir bhi kyun tu kam akal?


Kaagaz
Taaqat

Kinaare gawaah
Main kaise banaa
Mujhe gaayab tha hona jahaan se
toh jaake diya main paise kama

Ek free ki salaah
Tu aade matt aa
Bhayi yahan pe ladke sab sufi
par de jaate rog mein sheheri dawaa

Tu kg mein tha
Main tezi mein tha
Ye zindagi beat change karey toh phir main naezy tha ba

Ye chheene kala
Toh seena jala
Phir Kaata main sabko
jo bole ki gaanon ko catchy bana

Jaise mazdoor rakhoon urja bharpoor ,
Dikhe mehnat mein kami
toh aake laafa jadd doon ,
Na hota kabhi manzoor tum bolo iss ko fitoor
Na hai kisi ka kasoor
yeh hai mera hi wajood,

Naapa hai har ek sur tabhi taal bhardun
Keemat Jab pata na ho shabd ki
toh na kaan bhar tu ,
Dikhe tu thoda sa bhi shakki
tera naash kar doon,
Na maalum maut kab aaye
toh na maun dharr loon,
Tabhi Lagan dekh
Bhajan pe
Chhod diya saath jab se sanam ne

Kalam mein
Wazan de
Boom kara raasta toh gagan pe

Safal main
Shakal se
Gulaab mein hai kaante bhi toh panapte

Akadd dekh
Bhassad mein
Haath chhode jab bhi seedha pakad te

Trip hota poora kabhi hota nahi aadha
Naapoon yeh ilaaka oopar se jaise ripazha
Naa hi koyi pyaada
Galat fehmi ho toh kaatun aadha
Bawa i was born this way main jaise gaga

Rehta hoon zameen pe mera land jaise lala
Uth jaata jab bhi lage floor hai yeh lava
Aankhen jaise arjun kabhi chooke nahin nishaana
Hawa si yeh soch main to modd doon disha haan

Maa boli duniya mein kho matt jaa na
Chhodd diyo jaana jidhar ho naqaab haan
Tabhi Chhor diya jaana jidhar ho naqaab wahan

Kaagaz

Main haar ne ni waala
chaahe chheen Le tu aakhri niwaalah
Raatri se kaala dil maange aakhri ujaala
Shaanti se paala pada tabhi jaanti guzaara
De doon shabd poore andar
jaise chhaati mein bhaala

Aadmi niraala main toh kranti phaila raha
hai woh jaanti yeh jwaala
tabhi rishte ko ttaala
Main hoon kitnon se jeeta
aur hoon kitnon se haara
Pada farak nahi chahiye mehfooz sa kinaara

Mujhe dhoond te reh jaaega
main phir se bata raha
Chhodi doon mein parchhaai
yahan rishte bana raha
Meri kala jaise jheel aur yeh kashti shikaara
Mere khoon mein likhaai
aur hoon dhun se hilaara

Meri jaan mujhe dhoond hi ni paara

Parvat pe baitha main dhoond ke kinaara

Meri jaan mujhe dhoond hi ni paara

Parvat pe baitha main dhoond ke kinaara

Rehna chaahta main dur aabaadi se
Aazaadi na haasil kharaanto se
Laga diya daao likhaai pe
ham jaise pichhle janam se juaari the
palte jo paasa ye bhaasha bhi bhaari hai
sangeet na hota lachaari mein
Bo diya tha beej jo kyaari mein
dega safalta ka fal toh aabhaari main




----
#RoyalEnfieldHunter MTV Hustle 4 Hip-Hop, Don’t Stop, Co-Powered by #Wildstone #boAtLifestyle & #WokTokByVeeba. Every Sat-Sun 7PM only on @mtvindia & @officialjiocinema.

#MTVHustle #MTVHustle4 #Hustle4 #HipHopDontStop

Комментарии

Информация по комментариям в разработке