Adu Ne Kaat Dia Sar Magar Jhuka Na Saka, Zain Jafri, reciting salam at Hasan Raza Shah's Home

Описание к видео Adu Ne Kaat Dia Sar Magar Jhuka Na Saka, Zain Jafri, reciting salam at Hasan Raza Shah's Home

Adu ne kaat dia sar magar jhuka na saka.
Koi bhi Karbobala ki misal la na saka.

Khuda ne baqi rakha hey hamain Khuda ki qasam.
Isi liye to zamana hamain mita na saka.

Chalay nahi jo Shah-e-Dee'n k sath Makkah se.
Tawaf-e-Khana-e-Kaba unhain bacha na saka.

Haram namaz ada kar rahay thay naqo'n par.
Yazeed tu to namazain qaza kara na saka.

Naya to kuch bhi nahi hey, wohi purani khabar.
Abhi bhi ghaib k parday me hey, Wo aa na saka.

Jo shamm-e-ishq bahattar )72) dilo'n me roshan thi.
Charagh-e-khaima bujha, par usay bujha na saka.

Me Karbala k abhi Kaaf ko nahi samjha.
Abhi hayat k maqsad ka Meem pa na saka.

Ajeeb waqt ye Bimar lal par aya.
K bap tanha hazaro'n me tha, Wo ja na saka.

Ye ghum nahi k mere hath kat gae Bibi.
Ye dard hey k me pani tujhey pila na saka.

Sar-e-Hussain (AS) ye qatil se keh raha tha, Zain.
Meri sada ko tera waar bhi daba na saka.
#Muharram2021#Salam#ZainJafri#HussainAS#Karbala

Комментарии

Информация по комментариям в разработке