Munajat Imam Hussain (as) 2021 | Sayyadi Mola Hussain (as) | Ameer Hasan Aamir Munajat | 3 Shaban

Описание к видео Munajat Imam Hussain (as) 2021 | Sayyadi Mola Hussain (as) | Ameer Hasan Aamir Munajat | 3 Shaban

Munajat Imam Hussain (as) 2021 | Sayyadi Mola Hussain (as) | Ameer Hasan Aaamir Munajat | 3 Shaban Munajat 2021

🎞V I D E O I N F O🎞

►Title - Imam Hussain Munajat 2021 Ameer Hasan Aamir | New Munajat 2021 | Sayyadi Mola Hussain (as) | 3 Shaban Munajat 2021
►Reciter - Safeer E Aza, Syed Ameer Hasan Aamir
►Poet - Shanawar Makanpuri
►Chorus - Amanat Ali Khan(Sonu), Ghulam Abbas Khan (Monu), Rajab Ali Khan, Munawwar Ali
►Year - 2021/1442 Hijri
►Audio - ODS (Audio Mix & Master Omar Quraishi)
►Video - Azmat Haider
►Production - Azadari Chitora
►Label- AHA Records

----------------------------------------------------

►LYRICS:-

mere haadi mere rahebar mere monis mere yawar
mere murshid mere hamdam mere aaqa mere maula


1.aye hamare hami o yawar hai tujh se ilteja
kun karam bar hale ma ya sayadi maula husain
dil k goshe se nikal kar ayi hai lab pe sada
kun karam bar hale ma ya sayadi maula husain


2.aafaten aur mushkilen dushwariayn hain samne
hai dawa koi nahi bimariyan hain samne
abid e bimar ke sadqe me tu dede shifa
kun karam ......


3.goud jo suni padi hai us ko tu abaad kar
hain jo be aulaad un ko sahibe aulaad kar
wasta dera hon tujh ko asghar e besheer ka
kun karam .....


4.dhoop hai ranj o alam ki aur nahi hai sayba'n
chadar e tatheer ke sadqe me aye shahe jina
daal de sar pe hamare apni rahemat ki rida
kun karam....


5.kaash ban jaye hamara ye muqdar jite ji
ilteja hai aap se aye ibn e haidar jite ji
is baras ban jaon me bhi zaire karbobala
kun karam....


6.muflis o nadaar hain aur be kaso majboor hain
jo talash e rizq apne watan se door hain
kijiye imdaad un ki aap hain hajat rawa
kun karam...


7.zulm aur dahshat ki in kaali ghataon ne hame
har tarf se gher rakha hai balaon ne hame
haami o nasir hai tu is qaid se kar de reha
kun karam...


8.manzilen qadmon me hon chhubhi na payen haadsaat
zindgi khush haal ho dukh drd se payen najaat
qarz me jo mubtela hain qarz ho unka ada
kun karam...


9.hain jalane ke liye betaab mera ashiya'n
nafraton ki jo chamakti hain falak pe bijliya'n
mere maula mujhko to khana badoshi se bacha
kun karam...


10. be basi se jinki ankhen ho gayin hai ashkbaar
jo jawa'n beti ke rishte ke liye hain bekarar
khol de un ke liye tu ghaib se ab rasta
kun karam....


11. be hayai se bacha aur gumrhi ke saye se
door maan bahenon ko rakh be pardigike saye se
aye mere maula hai zainab k rida ka wasta
kun karam...


12.jab talk hai zindgi tujh se wafadari karon
gham manaon mai tera teri azadari karon
hai azadaron ki tujh se bas yahi ek ilteja
kun karam ...


13.dast basta hai guzarish aye ali ke nore ayen
hashar tak raazi tu rahna ham se aye maula husain
rooth jaye ye zamana par na hona tu khafa
kun karam...


14Dil me tera gham liye maula tere zakir rahen
ayse duniya me shanawar aur ye aamir rahen
haath phae laye ye dono kar rahe hain ab dua
kun karam...

___________________________________
Stay Connected with us via our Social Media:-
►SUBSCRIBE ://   / ameerhasanaamir​​  
►LIKE :   / ameerhasanaa​​.  .
►Instagram ://safeer_e_aza_official/
__________________________________

Комментарии

Информация по комментариям в разработке