Humein Dono Jahan Me He Sahara Ghous E Azam Ka - Owais Raza Qadri

Описание к видео Humein Dono Jahan Me He Sahara Ghous E Azam Ka - Owais Raza Qadri

Khuda Ke Fazl Se Hum Par He Saya Ghous E Azam Ka

Humen Dono Jahan Me He Sahara Ghous E Azam Ka



Muhammed Ka Rasoolo Me He Jaise Martaba A’ala

He Afzal Awliya Me Yun Hi Rutba Ghous E Azam Ka



Mureedi La-Takhaf Keh Kar Tasalli Di Ghulamo Ko

Qayamat Tak Rahe Be-Khauf Banda Ghous E Azam Ka



Hamari Laj Kiske Hath He Baghdad Wale Ke

Musibat Tal Dena Kam Kiska Ghous E Azam Ka



Gaye Ek Waqt Me Sattar Mureedo Ke Yaha Hazrat

Samajh Me A Nahi Sakta Muamma Ghous E Azam Ka



Luab Apna Chataya Ahmed E Mukhtar Ne Inko

To Phir Kaise Na Hota Bolbala Ghous E Azam Ka



Azizo Kar Chuko Taiyar Jab Mere Janaze Ko

To Likh Dena Kafan Par Nam E Wala Ghous E Azam Ka



Farishto Rokte Ho Kyu Mujhe Jannat Me Jane Se

Ye Dekho Hath Me Daman He Kiska Ghous E Azam Ka



Lahad Me Jab Farishte Mujhse Poochenge To Keh Dunga

Tariqa Qadri Hu Nam Leva Ghous E Azam Ka



Khudawanda Dua Maqbool Kar Hum Roo Siyaho(N) Ki

Gunahon Ko Hamare Baksh Sadqa Ghous E Azam Ka



Janab Ghous Dulha Aur Barati Auliya Honge

Maza Dikhlayega Mehshar Me Sehra Ghous E Azam Ka



Nida Dega Munadi Hashr Me Yun Qadriyo Ko

Kidhar He Qadri Karle Nazara Ghous E Azam Ka



Mukhalif Kya Kare Mera Ke He Behad Karam Mujh Par

Khuda Ka Rehmatallil A’almeen Ka Ghous E Azam Ka



Farishte Madrasa Tak Sath Pohchane Ko Jate The

Ye Darbar E Ilahi Me He Rutba Ghous E Azam Ka



Salasile Jahan Kyu Gar Na Unke Rob Se Kampe

Na Laya Sher Ko Khatre Me Kutta Ghous E Azam Ka



Jameel E Qadri Sau Jan Ho Qurban Murshid Par

Banaya Jisne Tujh Jaise Ko Banda Ghous E Azam Ka

Комментарии

Информация по комментариям в разработке