Raat Yun Kehne Laga | Ramdhari Singh Dinkar | Dr Kumar Vishwas

Описание к видео Raat Yun Kehne Laga | Ramdhari Singh Dinkar | Dr Kumar Vishwas

स्वर्ग के सम्राट को उस युग में मनुष्य के आगमन की सूचना दे रहे हैं, जब विज्ञान ने चाँद पर सफलतापूर्वक पैर रखने की सोची भी नहीं थी। यह है कवि के कल्पना की शक्ति।
Imagination of a poet surpasses that of science. Mahakavi Ramdhari Singh 'Dinkar' took the world to the skies when science was yet to step on moon.

Raat youn kehne laga mujhse gagan ka chand
Aadmi bhi kya anokha jeev hota hai!
Uljhane apni banakar aap hi phanstaa,
Aur phir bechain ho jagta, na sota hai
jaanta hai tu ki mein kitna puranaa hoon?
Mein chukaa hoon dekh manu ko janamate-marate
Aur laakho baar tujh-se paaglo ko bhi
Chandni me baith spano par sahi karte|

Aadmi ka svapn? hai vah bulbula jal ka
Aaj uthata aur kal phir phoot jata hai
Kintu, phir bhi dhanya thahra aadmi hi to?
Bulbulo se khelta, kavita banata hai

Mein na bola kintu meri raagini boli,
Dekh phir se chand mujhko jaanta hai tu?
Svapn mere bulbule hein? hai yahi pani?
Aag ko bhi kya nahi pahachanta hai tu?

Mein na vah jo svapn par keval sahi karte,
Aag me usko galaa loha banata hoon,
Aur us par neenv rakhta hoon nayae ghar ki,
Is tarah deewar faulaadi uthata hoon

Manu nahi, manu-putra hai yah saamne, jiski
Kalpana ki jeebh me bhi dhar hoti hai,
Vaan hi hote vicharon ke nahi keval,
Svapan ke bhi haath me talvaar hoti hai|

Swarg ke smraat ko jakar khabar kar de-
Roj hi akash chadhte ja rahe hein ve,
Rokiye, jese bane in svapanbalon ko,
Swarg ki hi aur badhte aa rahe hein ve


#kumarvishwas #dinkar #tarpan

Комментарии

Информация по комментариям в разработке