Mobile Repairing Business की A-Z Knowledge | Mobile Shop Business | Josh Talks Spoken English

Описание к видео Mobile Repairing Business की A-Z Knowledge | Mobile Shop Business | Josh Talks Spoken English

चलो सफलता की और कदम बढ़ाते है Josh के साथ
https://joshskills.app.link/buZKm68Akab

मोबाइल रिपेयरिंग बिजनेस
Mobile repairing business
How to start mobile repairing shop in hindi
Mobile Repairing Business Ideas In Hindi

Janiye Hindi mein mobile repairing business / Cell phone repair business scope, मोबाइल रिपेयरिंग टूल्स, profit, marketing tips aur expert tips.

Starting a mobile phone repair business ki Hindi mein puri jaankari ke liye link pe click karke padhiye humara blog
https://www.joshtalks.com/joshkosh/bu...

Humare expert Pawan Kumar ji mobile cell phone repairing business mein 12 saal se hai aur hum ko batayenge mobile repairing business ideas in Hindi for India.


CISCO company nein India mein survey kiya smartphone users pe aur ye pata chala ki 2019 mein 35 crore smartphones hain aur 2022 tak yeh number 80 crore pahuch sakta hain. Iss speed se mobile phones ki demand badh rahi hai usi speed se mobile repairing business bhi tezi se badh raha hai. Mobile repairing business ek aisa business option hai jisme kam investment mein acha paisa kamaya jaa sakta hai. Har kisi ko mobile phone chaiye to log kharedeinge bhi aur woh kharaab bhi honge.


Mobile repairing business ke liye zyada qualifications ki zarurat nahi hoti hai. 10 aur 10+2 wale bhi kar sakte hai, 2 - 3 mahine ka mobile repairing course hota hai jahan aap mobile repairing seekh sakte hai. Itna hard course nahi hota aur koi bhi seekh sakta hai mehnat karke. Ye courses karne zaruri hai agar aapko khud se repairing ka kaam karna hai. Aap kisi institute se yeh course kar sakte hai aur kisi ke saath kaam karke bhi seekh sakte hai.

Jahan bhi population zyada ho ya koi mobile ja market ho wahan aap cell phone repair business khol sakte hai.

Is business mein zyada laagat nahi lagti hai. Aap 20,000 se 30,000 rupees mein yeh business shuru kar sakte ho. Agar aapko kaam nahi aata to aap koi technician bhi rakh sakte hai shuruaat mein.

Mobile repairing business investment - ₹30,000 - ₹50,000
Mobile repair shop rent - ₹10,000 - ₹15,000
Mobile repair tools cost - ₹10,000 - ₹15,000

You can earn profit in this business within 2 months. Mobile repairing business profit margin 50% se 60% hota hai.

Aap 10,000 se 15,000 ka samaan rakh sakte hai.

Marketing ke liya customer se acchi dealing rakhni chahiye aur price reasonable hona chahiye.
Business lane ke liye aap kisi shopkeeper ke sath commission basis mein kaam kar sakte hai.

Two registrations are very important. Pehle to aap ko shop ka registration karna hota hai jo bahaut zaruri hota hai aur GST number lena zaruri hai.

Mobile repairing shop mein aap cell phone repair ke siwa mobile recharging ya DTH recharging service de sakte hai . Aap battery aur power bank bhi bech sakta hai jiski bahut demand hai. Mobile accessories jaise data cable, charger bhi bech sakte hai.

Customer ko itna time do jitne time mein aap repairing kar sakte ho. Expectation settings karo. Underpromise and over deliver. Customer ko sach bolo aur usko ghumao mat. Acchi quality ka maal lao aur lagao. Local maal mat lao. Stock utna hi rakho jo aap laga pao kyunki rates up and down hote rehte hai.

-------------------------------------------------------------------------------------
Expert Consultant: Pawan Kumar
Phone: +91-8375876985
Address:
Sai Communications, Sector 14, Gurugram, Haryana

TIMESTAMPS


0:00 Intro - मोबाइल रिपेयरिंग बिजनेस |mobile repairing business | how to start mobile repairing shop in hindi
0:57 - Mobile Repairing Business ki Demand aur Future kya hai?
1:20 - Mobile Shop kholne ke liye Qualification aur certification kya chahiye?
1:50 - Mobile repair shop ke liye best location/jagah kya ho sakti hai?
2:05 - Mobile repairing tools, मोबाइल रिपेयरिंग टूल्स aur mobile repairing business investment?
2:42 - Mobile repairing business income? Cell phone repair business income?
2:55 - Mobile repairing ka saman cost?
3:10 - Mobile repairing Business kaise chalaye - Marketing kaise karein?
3:45 - How to start mobile repair shop. Registration + legal?
4:10 - Mobile repairing ki shop ko kaise badhaye?
4:30 - Mobile repairing business tips?


#JoshTalksSpokenEnglish #mobilerepairing #MobileShop

-----------------------------

Follow Us On -
➡️Instagram:   / joshtalkssp.  .
➡️Facebook:   / joshskillsapp  
➡️Twitter:   / joshskillsapp  
➡️Website: https://www.joshtalks.com/joshkosh/

Комментарии

Информация по комментариям в разработке