हमने सुना था एक हैं भारतHD - दीदी - सुनील दत्त- मोहम्मद रफ़ी, आशा भोसले- Patriotic Song- Old Is Gold

Описание к видео हमने सुना था एक हैं भारतHD - दीदी - सुनील दत्त- मोहम्मद रफ़ी, आशा भोसले- Patriotic Song- Old Is Gold

Song:- Humne Suna Tha Ek Hai Bharat
Singer(s):- Mohammed Rafi, Asha Bhosle
Movie:- Didi (1959)
Music Director:- Datta Naik

#GaaneSuneAnsune #IndependenceDaySongs #PatrioticSongs #SunilDutt #Didi #OldSongs

Lyrics:-
Hum Ne Suna Tha
Ek Hai Bharat
Sab Mulkon Se
Nek Hai Bharat
Lekin Jab Nazdeek Se Dekha
Soch Samajh Kar Theek Se Dekha
Hum Ne Naqshe Aur Hi Paye
Badle Huye Sab Taur Hi Paye
Ek Se Ek Ki Baat Juda Hai
Dharma Juda Hai Zaat Juda Hai
Aap Ne Jo Kuch Hum Ko Padhaya
Wo To Kahin Bhi Nazar Na Aaya
Jo Kuch Maine Tum Ko Padhaya
Us Mein Kuch Bhi Jhoot Nahin
Aasha Se Bhasha Na Miley To
Is Ka Matlab Phoot Nahin
Ik Daali Par Reh Kar Jaise
Phool Judaa Hain Paat Juda
Bura Nahin Gar Yun Hi Watan Mein
Dharm Juda Ho Zaat Juda
Apne Watan Mein
Wahi Hai Jab Quran Ka Kehna
Jo Hai Ved Puraan Ka Kehna
Phir Yeh Shor Sharaba Kyun Hai
Itna Khoon Kharaba Kyun Hai
Apne Watan Mein
Sadiyon Tak Is Desh Mein Bachchon
Rahi Hukumat Gairon Ki
Abhi Talak Hum Sab Ke Munh Par
Dhool Hai Unke Pairon Ki
Ladwao Aur Raaj Karo
Yeh Un Logon Ki Hikmat Thi
Un Logon Ki Chaal Mein Aana
Hum Logon Ki Zillat Thi
Yeh Jo Bair Hai Ik Duje Se
Yeh Jo Photo Aur Ranjish Hai
Unhi Videshi Aaqaon Ki
Sochi Samjhi Bakhshish Hai
Apne Watan Mein
Kuch Insaan Brahman Kyun Hain
Kuch Insaan Harijan Kyun Hain
Ek Ki Itni Izzat Kyun Hai
Ek Ki Itni Zillat Kyun Hai
Dhan Aur Gyaan Ko
Taaqat Walon Ne Apni Jaageer Kahaa
Mehnat Aur Ghulaami Ko
Kamzoron Ki Taqdeer Kaha
Insanon Ka Yeh Batwaara
Vehshat Aur Jahalat Hai
Jo Nafrat Ki Shiksha De
Wo Dharma Nahin Hai Laanat Hai
Janam Se Koyi Neech Nahin Hai
Janam Se Koyi Mahaan Nahin
Karam Se Badh Kar Kisi Manushya Ki
Koyi Bhi Pehchaan Nahin
Ab To Desh Mein Azaadi Hai
Ab Kyun Janta Fariyaadi Hai
Kab Jayega Daur Puraana
Kab Aayega Naya Zamana
Sadiyon Ki Bhookh Aur Bekaari
Kya Ik Din Mein Jayegi
Is Ujde Gulshan Par Rangat
Aate Aate Aayegi.
Ye Jo Naye Mansube Hai
Aur Ye Jo Nayi Tamire Hai
Aane Wale Daur Ki Kuch
Dhundhli Dhundhli Tasvire Hai
Tum Hi Rang Bharoge Inme
Tum Hi Inhe Chamkaoge
Navyug Aap Nahi Aayega
Navyug Aap Nahi Aayega
Navyug Ko Tum Laoge

Комментарии

Информация по комментариям в разработке