Allah Ke Deedar Ka Ilm By Sultan Bahoo!!!

Описание к видео Allah Ke Deedar Ka Ilm By Sultan Bahoo!!!

Allah ke deedar ka ilm kaise hasil hota hai, is ke bare mein Hazrat Sultan bahoo kya farmate hain? This video the beautiful Islamic video Another good informative video about Allah Ke Deedar Ka Ilm By Sultan Bahoo. Hum bat karte hain ilm e marfat ki, Ilm e marfat ka jo dosra naam hai wo hai deedar ka ilm, kiun ke ye bhi aik ilm hai. Jab ke is bat par Nabi pak Hazrat Muhammad Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya: ke mujhe 3 kisam ke ilm ata kiye gay. aik ilm tum sab ke liye matlab zuban walon ke liye, dosra tum mein se chand logon ke liye dil walon ke liye, aur tesra meri zaat ke liye ankh walon ke liye agay jisay marzi ata karon ankh wala ilm. wo ankh wala ilm, ilm e marfat kehlata hai, Allah ke deedar ka ilm kehlata hai. Sultan ul Ashqeen Sultan ul Arfeen Hazrat Sakhi Sultan Bahoo RA ap Noor ul huda mein aik pora chapter likhte hain chapter No 5 hai. Jis mein farmate hain: Ilm e marfat, ke marfat ka ilm hai kya chez? Ilm e marfat 2 kisam ki hoti hai aik wo marfat jis se insan ko duniya milti hai aur aik wo marfat jis se Allah milta hai. Agar ap ilm e marfat mein duniya ke chakar mein par jate hain to phir ap is duniya ki marfat mein hi reh jate hain lakin us marfat ki waja se phir ap allah ke deedar se reh jate hain. Aur aik marfat wo hai ke jis se Allah ke deedar ka sharf hasil kar sake. Bas deedar ke liye kon sa ilm aur rah aur kon si nazar nigah chahiye. Allah ke deedar ka Quran e pak se pora saboot milta hai, Qaran e pak ki surah Al-Kahf Ayat No 110 tarjama, Jis shakhs ko Allah ke deedar ki arzu ho, Yani Allah ka deedar karna Allah ke rohbaro hona, samne hona nazrien char karna. Bas wo Amal e suhlay ikhtiyar karay. Amal e suhlay marfat e allah ki tarf rajo lana, Amal e suhlay kya hai? Amal e sulay ka matlab Allah ke deedar ki tarf raju lana, Allah ke deedar ka ilm hasil karna. Ab ap ki marzi hai ke Allah ke deedar ka rasta ikhtiyar karna hai, ya Allah ke deedar ka inhiraf karna hai. Allah ki mohabbat ko pana hai, ya Allah ki mohabbat ka inkar karna hai, Allah ki mohabbat, Allah ke deedar, Allah ke ishq ka ka rasta kon sa hai? aur Nazar wale ilm kon sa hai? Nazar wale ilm ki ibtada ap ke qalb se hoti hai. Agar ap Allah ke deedar ka rasta ikhtiyar karna chahte hain, agar ap Allah ki marfat ka rasta ikhtiyar karna chahte hain, to us ki ibtada kam se kam ap ka qalb hai. Us qalb ke sath zikr ilahi karin, jis ki waja se hi ap ko deedar e ilahi ho ga. Zikr e ilahi rasta hai deedar e ilahi ka, zikr e ilahi ye rasta hai noor ka, jis ki waja se ap ke dil mein Allah ka noor paida hona hai. Aur jitna ziyada ap ke dil mein Allah ka noor ho ga, utna hi jaldi ap ko deedar e ilahi naseeb ho ga. Is qalb ke noor ke liye hi farmaya gaya ke Al noorun ilm,mun. Ilm to noor hai, yehi noor hi huq aur batil ki pehchan bhi karwata hai aur Allah ka deedar bhi karwata hai.

-Allah ka deedar kon karta hai: Allah ka deedar usi ko naseeb hota hai jo Sufism ka rasta ikhtiyar karta hai. Aur Sufism ko sirf Religion Islam ke Muslim log hi nahi bakle duniya ke har Religion wala Sufism ko manta hai. Allah ke deedar ke liye Sufism ka rasta ikhtiyar karna hota hai, Apne dil ki dharkanon ke sath Allah ka zikr karna hota hai. Aur Allah ke zikr aur Allah ke deedar ke liye kisi Religion ke koi qaid nahi. Allah ke deedar ke liye Religion nahi balke ye zarori hai ke Allah se mohabbat kitni hai. Allah ke deedar ki tamana us ke dil mein hoti hai jis ke dil mein Allah ke liye mohabbat hoti hai. Jis ko Allah se ishq hota hai jis ko apne Religion se mohabbat hoti hai wohi log Allah ke deedar ka rasta ikhtiyar karte hain, aur uni ko hi deedar e ilahi ka sharf naseeb hota hai. Aur us ke liye zarori hota hai ke apne dil ki dharkanon ke sath Allah ka zikr karna. #AllahKeDeedarKaIlm #FikarEIqbal #AdvZuhaibHafeez

More Related Videos Vist For

  / fikar_iqbal  
  / advocate-zuhaib-hafeez-218700805689062  
Imam Mahdi Ka Lashkar!!!
   • Imam Mahdi Ka Lashkar!!!  
Alien Reality - Alien Haqeeqat Ya Afsana!!!
   • Alien Reality - Alien Haqeeqat Ya Afs...  
Zikr Allah Ka Tarika
   • Zikr Allah Ka Tarika!!!  

Комментарии

Информация по комментариям в разработке