⚠️Na To Butkade Ki Talab | Urdu Qawwali | Nusrat Fateh Ali Khan (Lyrics & English Translation)

Описание к видео ⚠️Na To Butkade Ki Talab | Urdu Qawwali | Nusrat Fateh Ali Khan (Lyrics & English Translation)

Performed By: Ustad Nusrat Fateh Ali Khan Qawwal
Kalaam By: Hazrat Ameer-e-Sabri (RA)
Lyrics and Translations: Bhaijaan Yousufi
Raag: Kalavati
--
This qawwali has been with me since 1991 when I heard it for the first time. And Sarkar's enthusiasm made me become a fan as well. However, later when I grew up a bit, and when I really got to understand what the poet is communicating, my love for this Qawwali only grew deeper.

So upon doing some rigorous high school level online research, I finally came to find the name of the writer. Hazrat Ameer-E-Sabri was a Sufi writer that belonged to Sabri Sufi Tariqah and his full name was Hazrat Ameer Baksh Sabri. Here's a link where you can find his full Kalam as he wrote it without missing pieces: https://sufinama.org/ghazals/ameer-sa...

As someone belonging to Sabri Silsila, he has written numerous poems in honor of Hazrat Ali Ahmad Sabir. But on the flip side, he has written extensively on many other Sufi Saints, like Ahle Bayt, Mola Ali, Hazrat Abdul Qadir Jilani, Hazrat Khwaja Moinuddin, and many many others. He also published his "Faizaane Sabri" collection, which includes a good amount of his poetry. One of the things I really like about his way of writing is that he doesn't like holding back. And to some degree, I can see the similarities between his work and that of Hazrat Zaheen Shah Taji as well as Hazrat Bedam Warsi. All of them were prolific Sufi poets in their own fields.

--
Raazdaaroñ Se Bach Ke Chalta Huñ
Gham Gusaaroñ Se Bach Ke Chalta Huñ
Mujhko Dhokha Diya Sahaaroñ Ne
Ab Sahaaroñ Se Bach Ke Chalta Huñ

Shabe Gham Ki Sahar Nahiñ Hoti
Ho Bhi Toh Mere Ghar Nahiñ Hoti
Zindagi Tu Hi Mukhtasar Ho Ja
Shabe Gham Mukhtasar Nahiñ Hoti

Meiñ Ne Masoom Bahaaroñ Meiñ Tumheñ Dekha Hei
Meiñ Ne Pur Noor Sitaaroñ Meiñ Tumheñ Dekha Hei
Mere Mehboob Teri Parda Nasheeni Ki Qasam
Meiñ Ne Ashqoñ Ki Qataaroñ Meiñ Tumheñ Dekha Hei

Butth Bhi Iss Meiñ Rehte Thei
Dil Yaar Ka Bhi Kashaana Tha
Ek Taraf Kaabe Ke Jalwe
Ek Taraf Butkhaana Tha

Na To Butkade Ki Talab Mujhe
Na Haram Ke Dar Ki Talaash Hei
Jahaañ Lutt Gaya Hei Sukoone Dil
Uss Hi Raah Guzar Ki Talaash Hei

Tu Haram Meiñ Jisko Hei Dhoondh Ta
Mujhe Butkade Meiñ Wo Mil Gaya
Tujhe Kya Malaal Hei Zaahida
Yeh Nazar Nazar Ki Talaash Hei

Mujhe Sab Qabool, Falaq Magar
Ghame Dost Mujhse Talab Na Kar
Isse Kese Dil Se Juda Karuñ
Meri Umar Bhar Ki Talaash Hei

Aey Tabeeb ChchorD Yuñ Hi Mujhe
Meiñ Mareeze Ishq Huñ La Dawa

Ishq Ki ChoT Ka Kuch Dil Peh Asar Ho To Sahi
Dard Kam Ho Ya Ziyadah Ho Magar Ho To Sahi

Majnu Nazar Aati Hei, Laila Nazar Aata Hei
Vahshat Mein Har Ek Naksha Ulta Nazar Aata Hei...Dekho

Waadiye Najd Se Phir Kar Jo Hawa Aati Hei
Qais Ke Rone Ki Ab Tak Ye Sada Aati Hei

Kaabe Bhi Gaey Hamm, Na Gaya, Par Buttoñ Ka Ishq
Iss Rog Ki Khuda Ke Ghar Bhi Dawa Nahi

Kaafire Ishq Huwe, Hamdo Sanah Bhool Gaey
Naame Butth Yaad Raha, Naame Khuda Bhool Gaey...Dekho

Naazo Andaaz Se Kehte, Heiñ Ke Jeena Hoga
Zeher Dete Heiñ Toh Kehte, Heiñ Ke Peena Hoga
Jab Meiñ Peeta Hoon Toh Kehte, Heiñ Ke Marta Bhi Nahi
Jab Meiñ Marta Hooñ Toh Kehte Heiñ Ke Jeena Hoga...Dekho

Ishq De Mehek Meiñ Gaya Meiñ Ik Din,
Aggoñ Ishq Ne Meri Badiyayi Tthag Lai
Meiñ Gaya Si Ishq Toñ Daad Laiñde,
Aggoñ Ishq Ne Meri Danayi Tthag Lai
Iss Ishq Ne Bade Bade Tthag Lai,
Karuñ Baadshah Di Baadshahi Tthag Lai
Teñ Ki Tthageya Aashiq Daara,
Iss Ishq Ne Khuda Di Khudayi Tthag Lai

--
Music: (0:00)
Prelude: (0:37)
Na To Butkade: (3:09)
Tu Haram Meiñ: (6:52)
Mujhe Sab Qabool: (9:44)
Aey Tabeeb ChchorD: (11:59)
Ishq Ishq: (12:15)
Ishq Ki ChoT Ka: (13:33)
Majnu Nazar Aati: (14:00)
Waadiye Najd Se: (15:06)
Kaabe Bhi Gaey: (15:41)
Kaafire Ishq Huwe: (16:12)
Waadiye Najd Se: (15:06)
Naazo Andaaz Se: (17:00)
Ishq De Mehek: (18:00)

Комментарии

Информация по комментариям в разработке