Shimr kay Zulm se mai Kanp Rahi hun Baba | Anjuman Sipah-e-Hussaini Bhanauli Sadat

Описание к видео Shimr kay Zulm se mai Kanp Rahi hun Baba | Anjuman Sipah-e-Hussaini Bhanauli Sadat

Shimr ke Zulm se mai Kanp Rahi hun Baba | شمر کے ظلم سے میں کانپ رہی ہوں بابا | शिम्र के ज़ुल्म से मैं काँप रही हूँ बाबा

Poetry - Hur Sultanpuri
Reciters- Zuhair Qain & Haider Raza (Anjuman Sipah-e-Hussaini Bhanauli Sadat)
20 Safar (Arbaeen Imam Mazloom)
Posted by- Azadari Bhanauli
Venue- Roza-e-Sakina Bintul Hussain a.s Karbala, Bhanauli Sadat

Lyrics-
***
Haye jab sham kay darbar mein pohacha qunba
Hakim-e-Sham ne ye shimr-e-lain se pucha
Hai kahan ladli shabbir ki batlao zara
Hakim-e-sham se tab shimr-e-lain ne ye kaha

Shah k seeney ka sukun jo thi wahi hai bachchi
Paas zainab k jo pahlu me chupi hai bachi

***
Haye sar bachi ko dikhla k sitamgar ne kaha
Chahta tha tera baba tujhe maine hai suna
God me teri sare shah ko aana hoga
Ro k hathon ko utha kar ye sakina ne kaha

Uth k ab tasht-e-tela se paye dukhtar aao
Imteha beti ka leta hai sitamgar aao

***
Sun k fariyad sakina ki sar-e-shah chala
Nagah janibe dukhtar sar-e-shabbir badha
Aan k god me beti k sar-e-shah ruka
Choom kar baap ka muh bali sakina ne kaha

Fir tamache na lage rukh pe dari hun baba
Shimr k zulm se main kanp rahi hun baba

*
Sare shabbir pe muh rakh sakina ne kaha
Shimr k zulm se main kanp rahi hun baba
Kaid-e-zalim se hame jald chhudhao baba

1.
Aag khaimo me lagi jal gaya mera kurta
Chin gye kaano se gauhar bhi luti sar se rida
Khaye zalim k tamache bandha rassi me gala
Shimr k zulm se main kanp...

2.
Jab se uttha hai mere sar se tumhara saya
Khoob jee bhar k mujhe shimr-e-lain ne mara
Dekho baba tane zakhmi se hai chipka kurta
Shimr k zulm se main kanp...

3.
Apne oonton ko laino ne pila k pani
Khaak pe phenk diya ham ko dikha k pani
Main tadapti rahi hathon me tha khali kooza
Shimr k zulm se main kanp...

4.
Kuch bhi ankhon se sujhai nahi deta baba
Shiddat-e-pyas se bhunta hai kaleja mera
Jism ki haddiyan bhi sookh chuki hain baba
Shimr k zulm se main kanp...

5.
Shimr jab muh pe lagata tha tamache aakar
Rukh suwe naher kiye kahti thi mai chillakar
Aao dariya se hame aake bachao aye chacha
Shimr k zulm se main kanp...

6.
Oont ki pusht pe jakda gaya mujhko tanha
Tez raftar se fir oont ko daudaya gaya
Dekho baba hua kis tarha se zakhmi seena
Shimr k zulm se main kanp...

7.
Iss kadar muh pe sitamgar ne tamache mare
Neele rukhsar hain ab tak mere baba sare
Khauf jata nahi baba mere dil se uska
Shimr k zulm se main kanp...

8.
Jis ghadi bachi ki godi se chhina baap ka sar
Hur sakina ne kaha shah se yahi ro ro kar
Chhodh kar fir na mujhe jaiye tanha baba
Shimr k zulm se main kanp...

HUR SULTANPURI

Access:-
Shimr ke Zulm se mai Kanp Rahi hun Baba
शिम्र के ज़ुल्म से मैं काँप रही हूँ बाबा
شمر کے ظلم سے میں کانپ رہی ہوں بابا
Anjuman sipah-e-hussaini
Bhanauli sadat nohay 2022
Hur Sultanpuri
nauha bibi sakina s.a
azadari bhanauli
nohay 2022

Hashtag
#azadaribhanauli #ashbhanaulisadat #hursultanpuri

►Social Media:-
Subscribe :    / azadaribhanauli  
Want to chat? Hit me up on social media!
Instagram:   / iamrizvi  
Facebook:   / bhanaulisadat  

Комментарии

Информация по комментариям в разработке