Maya Govind in movie "Kavi Sammelan"

Описание к видео Maya Govind in movie "Kavi Sammelan"

Movie: Kavi Sammelan (1978) Part IV, featuring Maya Govind as "Maya Devi"
made by Rajshri Production
Director: Tarachand Barjatiya
Sanchalan by Ramrikh Manhar ji
Poem: Tum Ek Baar Priya Aa Jao

Lyrics

tum ek baar priy aa jaao o
to aanchal bhar suhaag odhoon
kaajal aanjoon
paayal baandhoon
drig mein jhaankoon
darpan todoon
tum ek baar priy aa jaao o

aashaayen alakh jagaati hain
beemar kalpnaa ke dwaare
aashaayen alakh jagaati hain
beemar kalpnaa ke dwaare
adhron ne band kiwaad kiye
nainaa jeete bainaa haare
kolaahal ke baazaaron mein ae
vandan ke chhand bike saare ae
nanadi jaisi natkhat sandhya
bhar bhar sindoor taane maare
tum mera sambodhan var lo o o
main tootaa chandan tan jodoon oon
tum ek baar priye aa jaao o

to kaliyaan chitke daali lachke
maali vihanse bhanwre jhoome ae
bhanwaron ke pankh paraag pagey
maali kaliyaan tode choome
to
ek rasik aur ek vyaapaari
ek loote ek bechen ritu mein ae
sammaan sahit murjhaa jaati
main khilti agar kisi ban mein
to tum pawan bano mujhko chhoo do
main joothi pankhuriyaan todoon oon
tum ek baar priye aa jaao

tere mere iske uske
naate rishtey sab bantey huye ae
ye kuchh kehta wo kuchh kehta
bolen akshar sab ratey huye
jhoothe sapne kab tak dekhoon
doli se saajan satey huye ae
ghabraakar udnaa bhi chaahoon
to pankh hamaare kate huye
adhron par tum aakaash dharo
to ankhiyon ke vish-ghat kholoon oon
tum ek baar priy aa jaao

sindoor chadhaaun ya mitti
donon ke niyam ek se hain aen
sindoor chadhaaun ya mitti
donon ke niyam ek se hain
ghoonghat mein mukhdaa chhuptaa hai
chunar aur kafan ek se hain
ghoonghat mein mukhdaa chhuptaa hai
chunar aur kafan ek se hain
is doli aur us doli ke ae
chadhne ke shagun ek se hain aen
do baar aath pag saath chalen
aathhon ke chalan ek se hain
tum man madhuban ka path de do
tum man madhuban ka path de do
to main tan ka marghat chhodoon oon
tum ek baar priy aa jaao o
to aanchal bhar suhaag odhoon

The Elite Poets that were on the Dias
1) Rashtrakavi Shri Ramdhari Singh ‘Dinkar’
2) Santosh Anand (mentioned as ‘Santoshanand’)
3) Kaka Hathrasi
4) Som Thakur
5) Bekal ‘Utsahi’
6) ‘Neeraj’
7) Snehlata ‘Sneh’
8) Radheshyam ‘Pragalbh’
9) Shail Chaturvedi
10) Govind Vyas
11) Maya Devi
12) Nirbhay Hathrasi
13) Balkavi Bairaagi
14) Omprakash ‘Aaditya’
15) Manik Verma
16) Kedar Sharma
17) Gopal Prasad Vyas

As per Geet Kosh, this movie was passed by Censor Board on 18.02.1972 (so with a couple of weeks this movie will complete its ‘fifty years’. This video has a ‘Censor Board Certificate’, but that is dated 1978 and ‘type’ of this film is mentioned as ‘documentary’.

Комментарии

Информация по комментариям в разработке