Sabri Brothers - Mamoor Horha Hai - The Music Of Qawwal U.N.E.S.C.O

Описание к видео Sabri Brothers - Mamoor Horha Hai - The Music Of Qawwal U.N.E.S.C.O

Mamoor Horha Hai
The Music Of Qawwal U.N.E.S.C.O
1975
Hazrat Shah Niaz Barelvi

Mamoor ho raha hai aalam mein noor tera.
Az maah taab mahi,sab hai zahoor tera.

Israar-e-Ahmadi se aagaah ho so jaaney,
Tu noor-e-har sharar hai,har sang-e-toor tera.

Har aankh tak rahi hai tere hi munh ko pyaare,
Har kaan mein hoon paata,shor-e-zahoor tera.

Jab ji mein ye samaaya ki jo kuch hai so tu hai,
Phir dil se kab door ho,qurb-o-hazoor tera.

Bhaata nahin hai waaiz juz deed-e-haq mujhe kuch,
Tujhko rahe mubaarak hoor-o-qasoor tera.

Wahdat ke hai ye jalwe naqsh-e-nigaah kusrat,
Gar sirre-maarifat ko,paaye shaoor tera.

Gar harf-e-beniyazi sarzad 'Niyaz' se ho,
Putley mein khaak ke hai,Pyaare guroor tera.

Комментарии

Информация по комментариям в разработке