Mujhe Aisa Lutf Ata Kiya | Aitbar Sajid | Best Urdu Poetry

Описание к видео Mujhe Aisa Lutf Ata Kiya | Aitbar Sajid | Best Urdu Poetry

Aitbar Sajid Urdu Poetry
Recital Ahsan Shakeel

Mujhe aisa lutf ata kiya ki jo hijr tha na visal tha
Mere mausamon ke mizaj-dan tujhe mera kitna khayal tha

Kisi aur chehre ko dekh kar teri shakl zehn mein aa gai
Tera nam le ke mila use mere hafize ka ye haal tha

Kabhi mausamon ke sarab mein kabhi baam-o-dar ke azab mein
Wahan umr hum ne guzar di jahan sans lena muhaal tha

Kabhi tu ne ghaur nahin kiya ki ye log kaise ujad gae
Koi 'mir' jaisa girafta-dil tere samne ki misal tha

Tere baad koi nahin mila jo ye haal dekh ke puchhta
Mujhe kis ki aag jala gai mere dil ko kis ka malal tha

Kahin khun-e-dil se likha to tha tere sal-e-hijr ka saneha
Wo adhuri diary kho gai wo na-jaane kaun sa sal tha

Subscribe To Our Channel For More Urdu Poetry Videos

►► Facebook :   / kitabemaazi  
►► Instagram :   / kitabemaazi  
►► Twitter :   / kitabemaazi  

Add Me On SnapChat
@ahsanshakeelart

For Business inquiry or Fan Mail
Call or WhatsApp: +92 331 4872455

Copyright Disclaimer Under Section 107 of the Copyright Act 1976, allowance is made for "fair use" for purposes such as criticism, comment, news reporting, teaching, scholarship, and research. Fair use is a use permitted by copyright statute that might otherwise be infringing. Non-profit, educational or personal use tips the balance in favor of fair use.

Комментарии

Информация по комментариям в разработке