Ali Jee & Ali Shanawar | 8th Muharram

Описание к видео Ali Jee & Ali Shanawar | 8th Muharram

SAQI ABBAS (AS) HAMARA HAI BY #ALISHANAWAR

abbas e ali aaye khareeb e shehe abrar
bhai ko alam deke kiya sheh ne bahot pyar

has has ke rafeeko se ye karne lage guftar
jaisi ye meri fauj hai waisa hi alamdar
ghazi sa koi deen ka sardar na hoga
abbas sa dunya may alamdar na hoga

saqi abbas hamara hai alamdar hamara
hashim ka qamar hyder e karrar ka pyara
...saqi abbas hamara hai

hyder ke gharane ki saqawat saqi abbas
khoone abu talib ki sadaqat saqi abbas
zehra ki dua-on ki taharat saqi abbas
khudrat ne banaya nahi phir aisa dubara
...saqi abbas hamara hai

quran e wafa sher e nayastane ali hai
zehra ki tamanna hai dil o jaane ali hai
is ke liye bachpan hi se farman e ali hai
mai ilm ka darya hoo ye darya ka kanara
...saqi abbas hamara hai

paida huve abbas to godi may utha kar
zainab ne rakha naam kaleje se laga kar
chota sa alam sheh ne diya unko saja kar
dekha jo alam ne to alam khud ye pukara
...saqi abbas hamara hai

ye panjetan e paak ke lashkar ka nishan hai
kehte hai ye shabbir mera sher e jawan hai
aisa koi dunya may alamdar kahan hai
sehwan se hai shehbaz qalandar ka ye nara
...saqi abbas hamara hai

abbas e ali roohe wafa jaane wafa hai
abbas e ali fatema zehra ki dua hai
har waqt alam choomti rehti ye hawa hai
bhoola nahi abbas ko darya ka kanara
...saqi abbas hamara hai

dunya e shahadat may kahan uska hai sani
jo saare shaheedo ki safon may raha ghazi
be-dast bhi ho kar jo bhare jholiyan sabki
hashim ka qamar saare fakhiro ka sahara
...saqi abbas hamara hai

laazim hai ke hum dekhenge ek roz ye manzar
farmayenge jab mehdi e daura sar-e-mimbar
kaabe se namudar jo hoga mera lashkar
hoga yehi lashkar ka alamdar hamara
...saqi abbas hamara hai

yaad aata hai wo ruqsate abbas ka manzar
wo rona sakina ka pharayre ko pakad kar
wo dekhna zainab ka kabhi sar kabhi chadar
kehti thi palat aayein behen bhai ka pyara
...saqi abbas hamara hai

abbas gaye hogaya maula mera tanha
dekha kabhi maidan to kabhi jaanibe darya
nagaah alam nehr pe girte huwe dekha
zainab se kaha sher gaya nehr pe maara
...saqi abbas hamara hai

ay sarwar o rehaan ye emaan hai apna
abbas ke parcham ka sada sar pe hai saaya
padne ke liye hashr may shabbir ka noha
abbas bulayenge hamay karke ishara
...saqi abbas hamara hai

_____________________________

2: ABBAS (AS) AA RAHAY HAI by #ALIJEE
Ek shor hai, al amaan) x4
(Abbas aa rahe hai) x2
Ek haath mein alam aur mashke sakina
(Abbas aa rahe hai) x2
Ek haath mein alam aur mashke sakina

Kaandhe pe mashk mashk mein dil hai diler ka
Darya ko chin lena nahi kaam der ka
Ehsan tishnagi me hilega na ghair ka
(Bighra hua mizaj hai) x2
Bighra hua mizaj jai hyder ke sher ka


Chehra hai wal kamar ki ziyao se mur nur
Aankho se jaakhta hua wan najal ka surur
Bala kadi hai aaisi ke sharmae koheyr
(Zulfe daraz aisi) x2
Zulfe daraz aisi ke wal lail ka shaur

Pyaasa hai sher ghat ka rasta na rokna
Aankhe jukawo sher ki janib na dekhna
Kaise bache ye jaan ye lazim hai sochna
(Abbas hai jalaal mai) x2
Abbas hai jalaal mai hargiz na tokna

Tewar beta rahe hai kayamat uthayega
Tege nazarse iski khuda hi bachayega
Aaya jo samne koi who mara jayenga
(Ek mashk me furat ko) x2
Ek mashk me furat ko bharkar dikhaega


Kabza hua furat par al kissa mukhtasar
Paani ko dekha phat gayaa abbas ka jigar
Aankhe lahu lahu hui bachcho ki pyas par
(Baali sakina bacho se) x2
Baal sakina bacho se kehti rahi udhar

Khayme ke dar par pyaasi sakina thi muntazar
Jumbish alam ki dekh ke deti thi yeh khabar
Tishna labo dua me tumhari hua asar
(Who dekho aa raha hai) x2
Wo dekho aa raha hai chacha ka alam nazar

Aaya alam zurur magar khun me bharaa
Zainab ne sar ko pitt ke shabbir se kaha
Kyun kham kamar hai aap ki gaazi kaha gaya
(Bole hussain ab koi) x2
Bole hussain ab koi pyaasa na de sadaa

Ek haath me alam aur mashke sakina
(Abbas aa rahe hai) x2

(Ek shor hai, al ama) x4


____________________
Main Hogaya Tanha, Ya Abbas (as)
______________________________
#nadeemsarwa #alishanawar #alijee #SakhiAbbasHamaraHai #AbbasAaRaheyHain #YaAbbas #muharram #safar #majlis #matam #karbala #salamyahussain #salamabbasyamola #salamghazi #live #nauhay #manqabat #naat #arbaen
hit SUBSCRIBE button to stay updated!

Комментарии

Информация по комментариям в разработке