This song is all about how I struggling in my life like you, Money was not the only problem, Our society talks about freedom (Right of Freedom – Article 19 ) but we are not allowed to do anything which we want though we are not doing anything wrong , Just trying to prove Ourselves, My family supported me and that is the only reason I proved myself as an Artist . I have not targeted anyone in this song, This is just a truth which I have faced still facing.
Download Audio link
Song : Aazaad
Written and Performed by : Hemant Bisht aka Sampaow
Music Production : Ajay
Video : Ankit Bhaskar
Edited by : Ankit Bhaskar and Sampaow
Director : Sampaow
Produced by : Shiv Sadhak Projects
Special Thanks To : UN production , Aman joy, Dakait shaddey, people who are in video, little kid may god bless him
song's lyrics.......
Kaha hai tera wo article 19 - 2
Aazaadi kaha hai haaaan -2
Hu aazaad main, per kyu hu bebas main ,
Uljha hua kyu duniya k circus mai,
Jabaan ne mere taani hai kammaan,
Ab dekhte hai teer kitne hai tarkash main,
Ghar waalo ne bhi diya pura saath hai,
Aagey mai badunga kyuki unka aashirwaad hai,
Uncha karu apne maa baap ka ser mai pehle,
Aakhir mai aatey kahi mere jazbaat hai ,
Ye hai ghar mera yaha se faraar main,
Rap hai shikaari aur bana hu shikar main,
Buri aadaton mai kabhi hua na shumaar main,
Akela hu raftaar mai tabhi hu barkaraar main,
Sapno ki rahey manzilon se jod di ,
Chowk ki baaatey maine chowk pe hi chod di,
Sunaa hair raeng k chalte hain mere dushman,
kyuki Maar maar k mukke maine pasli unki todd di,
Fodd di matki maine jhuthey uss samaj ki ,
Farebi duniya daari ki uss dhokhey aur makkari ki,
Bina paison k dekhain jo hum sapne uss lachari ki,
Teri naukri sarkaari apni berozgari ki ,
Jo jaari hai bimaari hai kyuki tu bhrashtachari hai,
Par galti wo hamaari hai,
Jo sompi zimmedaari hai,
Lakhon ki is bheed mai ye khota sikka bhari hai,
Tujhpar ye khota sikka bhari hai..-2
Aazaad hu main kuch kark dikhane ko….
Aazaad hu main iss duniya pe chaney ko….
Aazaad hu main karne ko purey sapne….
Aazaad hu main naye sapne sajaaney ko….
Ha mere bhai haan,
Ab tak hua kya majburi ki barish main,
Udhaari ka chata hai,
Garibi k gaalon pai ummido wala chntaa hai,
Garib apne sapne purey kark bhi pachtata hai,
Tu khata roti roz wo bhukha hi sojaata hai,
Ab hoga ye dabaana wo chahenge,
Par main dabunga nahi,
Bachpan se likhaari hu haan main rahunga wahi,
Main darunga nahi bhakt bholeynath ka mai ,
Sunta Bohemia ko yaha waha kisi ki bhi main sahunga nahi,
Main bahunga nahi kisi bhi bahaw mai,
Duniya ban k neta ghumey par nahi bikaaw main,
Musibat ki chaaw mai khel ka khilaadi wahi
Jiska bada daaw hai, haaaan
Khele daaw wo hamain intezaar kyun,
Gaddaron ki mahfil main hum hi wafadaar kyun,
Zindagi hamari hai to wo hai thekedaar kyun,
Baimaani ki jeet har baar teri haar ne hi kyun tujhe roka hai,
Samney sab thik peeth piche dhokha kyun,
Tera samaaj ye bin pende ka lota kyun,
In sawaalo se khoon mera kholaa hai,
Ab pata laga hoga aaj maine bola kyun.-2
Aazaad hu main kuch kark dikhane ko….
Aazaad hu main is duniya pe chaney ko….
Aazaad hu main karne ko purey sapne….
Aazaad hu main naye sapne sajaaney ko….
Информация по комментариям в разработке