Insaan Kya hai انسان کیا ہے Ibnul Arabi Andalusia Best Dialogues in Ertigral Ghazi Hindi Urdu

Описание к видео Insaan Kya hai انسان کیا ہے Ibnul Arabi Andalusia Best Dialogues in Ertigral Ghazi Hindi Urdu

Ibnul arabi ki naseehate

1. Jo oonche maqam par hote hain unke kandho par aazmayishein bhi badi hoti hain.
2. Kabhi na ummid mat hona, Allah apne bando ko museebaton se aazmata hai lekin har mushkil ke saath uska hal bhi hai.
3. Ye duniya ek darsgah ki tarah hai, hum sab ka alag alag imtehan ho raha hai aur us darsgah ka faqat ek hi ustaad hai aur wo faqat Allah hai.
4. Hamein pata bhi nahi hota ke hamara rab hamein kis kis maqam par girne se pehle thaam leta hai.
5. Tum uski maslehat ko nahi jante, magar wo rab tumhari har takleef ko janta hai.
6. Jo log baatil se margoob ho kar qadam peeche hata lete hain Allah Taala kafiro ke muqable mein aise logon ki madad nahi karta.
7.Jab Allah ka zikr hota hai loha bhi mom ban jata hai.
8. Logon ki baaton par dhyan dena chhod dein kyun ke izzat aur rizq Allah deta hai log nahi.
9.Islam ke sutoono ko apnaye bagair Aap Allah ki raah mein jaddo jahed nahi kar sakte.
10. Zaban ka bola duniya sunti hai aur dil ka kaha Allah sunta hai.
11.Manzil sab ki Allah hai, mohabbat, gham, aazmayish ye safar ka hissa hai.
12.Ho sakta hai duniya mein munafiq baazi le jayein magar akhirat sachche logon ki kamyabi ka din hai.
13.Pareshaniya to aati jaati hain aur aati jaati raheingi, tum bas Allah se ummid mat haarna.
14. Agar aap ka dil imaan ke noor se munawwar hai to ye aap ko sach ki raah laazmi dikhayega.
15. Main mohabbat ke mazhab par yaqeen rakhta hoon kyun ke mohabbat mera mazhab aur mera imaan hai.

—Ibn Arabi

Комментарии

Информация по комментариям в разработке