Indians React To Pakistani Singer | Ali Sethi | Ranjish Hi Sahi | Coke Studio | Ahmad Faraz

Описание к видео Indians React To Pakistani Singer | Ali Sethi | Ranjish Hi Sahi | Coke Studio | Ahmad Faraz

Presenting our reaction to the Ranjish Hi Sahi By Ali Sethi in Coke Studio Season 10 (Licensed by EMI Pakistan)

Credits:
Coke Studio Season 10| Episode 1
Produced & Directed by Strings
Music Directed by Jaffer Zaidi
Originally Composed by Nisar Bazmi
Lyrics by Ahmed Faraz
Additional Lyrics by Talib Baghpati
Licensed by EMI Pakistan

First of All... We are not dumb. Our reactions might be. Depends upon the humor you can take.
Ashish Patekar & Rohit Nikam are the creators of this channel. Probably one of them is typing this thing in third person.

Ashish Patekar
Instagram-   / ipatekar  

Rohit Nikam
Instagram-   / rohit.nikam12  
IMDB Profile- https://www.imdb.com/name/nm7948210/

Our Crew:
Tushar Ghule (Lights & Art)
Mahesh Jadhav (Production)

FOR BUSINESS - [email protected]

Original Full Lyrics of Ranjish Hi Sahi By Ahmad Faraz

ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye aa
aa phir se mujhe chhoḌ ke jaane ke liye aa

kuchh to mire pindar-e-mohabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa

pahle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa

kis kis ko bataenge judai ka sabab ham
tū mujh se ḳhafa hai to zamane ke liye aa

ik umr se hoon lazzat-e-girya se bhi mahrum
ai rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye aa

ab tak dil-e-ḳhush-fahm ko tujh se hain ummidein
ye aakhri shamen bhi bujhane ke liye aa

Additional Lyrics derived from the poem 'Yun Bhi Tera Ehsan Hai Aane Ke Liye Aa' by Talib Baghpati

maana ki mohabbat ka chhupana hai mohabbat
chupke se kisi roz jatane ke liye aa


Original full Lyrics of 'Yun Bhi Tera Ehsan Hai Aane Ke Liye Aa'

yun bhi tera ehsan hai aane ke liye aa
ai dost kisi roz na jaane ke liye aa

har-chand nahin shauq ko yara-e-tamasha
ḳhud ko na sahī mujh ko dikhāne ke liye aa

ye umr, ye barsat, ye bhigi hui raatein
in raaton ko afsana banane ke liye aa

jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
aise hi bahane se na jaane ke liye aa

maana ki mohabbat ka chhupana hai mohabbat
chupke se kisi roz jatane ke liye aa

taqdir bhi majbur hai, tadbir bhi majbur
is kohna aqide ko mitaane ke liye aa

aariz pe shafaq, daman-e-mizhgan mein sitare
yuun ishq ki tauqir badhane ke liye aa

taalib ko ye kya ilm, karam hai ki sitam hai
jaane ke liye ruth, manaane ke liye aa

Комментарии

Информация по комментариям в разработке