Hairat shah warsi | haq waris ya waris | sufinama | Gul Bhai Warsi

Описание к видео Hairat shah warsi | haq waris ya waris | sufinama | Gul Bhai Warsi

#hairatshahwarsi
#sufism​
#viralvideo
#qawwali​
#sufiqawwali

Pen Name :''Hairat''

Real Name :Miyan Hairat Shah Warsi

Born :Jalandhar, Punjab

dil meñ jo rahte the ummīd kī duniyā ho kar

vo chale jaate haiñ kyuuñ dāġh-e-tamannā ho kar

merā ghar ghar nahīñ tum bin ye siyah-ḳhāna hai

ab siyah-ḳhāne meñ aa jaao ujālā ho kar

ḳhud batā dījiye ye din kis ke sahāre pe kaTeñ

aap jab chhoḌ ga.e dil kā sahārā ho kar

kashtī-e-umr mirī ġham ke hai tūfāñ meñ ghirī

khīñch lo ab use dariyā kā kinārā ho kar

hosh uḌe jaate haiñ furqat meñ ba-rañg-e-'hairat'

dil ko ā.īna banā barq-e-tajallā ho kar

SOURCE :
Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 129) Publication : Fine Books Printers (1993)

tere dard kī kahānī mirā rāz-e-zindagānī

tire husn kā fasāna hai mirā ġham-e-nihānī

mirā raaz hai agar tū to maiñ huuñ terī nishānī

na tirī hayāt faanī na mirī hayāt faanī

karūñ diid kī talab kyuuñ sunūñ kyuuñ maiñ lan-tarānī

hai abhī mirī nazar meñ vo adā-e-man ra.ānī

maiñ tujhe azal meñ kho kar rahā umr-bhar taḌaptā

isī justujū meñ āḳhir bujhī sham-e-zindagānī

mirī tīrah-baḳhtiyoñ kī na miTī kabhī syāhī

rahī umr-bhar farozāñ merī sham-e-zindagānī

vahī be-qarāriyāñ haiñ vahī iztirāb us kā

ba-juz us ke kyā hai 'hairat' dil-e-rāz kī kahānī
SOURCE :
Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 130) Publication : Fine Books Printers (1993)

jalva-ārā kaun be-parda ye pardā-posh hai

zarra zarra bazm-e-hastī kā jo ab mad.hosh hai

aap kī tasvīr har-dam dil se ham-āġhosh hai

ya.anī vo behosh huuñ qurbān jis par hosh hai

rahmatoñ vaale se Takkar hai gunahgāroñ kī aaj

ham idhar ḳhāmosh haiñ aur vo udhar pur-josh hai

be-ḳhabar hone pe bhī hai saare aalam kī ḳhabar

aisī be-hoshī meñ mastānoñ ko aisā hosh hai

ham balā-noshoñ kī himmat ko tū ai saaqī na pūchh

donoñ-ālam sar pe rakh le jaa.eñ itnā josh hai

tah ko un gahrā.iyoñ kī paa.e kyā ġhavvās-e-aql

rūd-bār-e-ishq kā har qatra qulzum-nosh hai

jaane vaale phir unhīñ mastī bharī āñkhoñ se dekh

log kahte haiñ tire bīmār ko phir hosh hai

allāh allāh ik zamāna hai ḳharāb-e-ārzū

is nigāh-e-mast par sadqe matā-e-hosh hai

vaah kyā hairat-fazā manzar hai dil kī bazm kā

jalva-e-hairāñ se ab 'hairat' jo ham-āġhosh hai

husn vāloñ meñ bhī ab to ho rahe haiñ tazkire

sun rahe haiñ āj-kal 'hairat' kafan-bardosh hai
SOURCE :
Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 128) Publication : Fine Books Printers (1993)

bas meñ tire zamīñ hai qabze meñ āsmāñ hai

ai do-jahāñ ke mālik merā nishāñ kahāñ hai

siine meñ ban ke hasrat ik tiir be-kamāñ hai

jab tak rahe ye dil meñ insān nīm-jāñ hai

fasl-e-bahār meñ to qaid-e-qafas meñ guzrī

chhūTe jo ab qafas se to mausam-e-ḳhizāñ hai

har zarra us kī manzil sahrā ho yā ho gulshan

kyuuñ be-nishāñ rahe vo terā jo be-nishāñ hai


SOURCE :
Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 130) Publication : Fine Books Printers (1993)

pāūñ na duur duur bhī apnī ḳhabar ko maiñ

phir DhūñDhtā huuñ aap kī pahlī nazar ko maiñ

ik ik nigah meñ saiñkaḌoñ tīroñ ke vaar haiñ

rakkhūñ kahāñ sambhāl ke qalb-o-jigar ko meñ

aise ga.e ki zindagī kī shaam ho ga.ī

lā.ūñ kahāñ se DhūñD ke guzrī sahr ko maiñ

muddat meñ jalva-gar hue bālā-e-bām vo

us chāñd ko maiñ dekhūñ ki dekhūñ qamar ko maiñ

'hairat' nigāh-e-yār ne na jaane kyā kiyā

hairāñ huuñ ab kahāñ rahūñ jā۔ūñ kidhar ko maiñ

SOURCE :
Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 129) Publication : Fine Books Printers (1993)
nikle jo dam kisī kā tere intizār meñ

kyā ḳhaak chain paa.e vo kunj-e-mazār meñ

o mast-e-nāz uf terī mahshar-ḳhirāmiyāñ

ik hashr sā bapā hai dil-e-be-qarār meñ

kahnā na phir kahīñ hameñ badnām kar diyā

dekho ki dil nahīñ hai mire iḳhtiyār meñ

ab kyā kaheñ ki kaise milā āstān-e-yār

sajde qadam qadam pe kiye rāh-guzār meñ

us andalīb-e-soḳhta-sāmāñ kī kuchh na pūchh

jis kā ujaḌ gayā ho nasheman bahār meñ

us barq-vash ke husn kī allāh re tapish

ik aag sī lagī hai dil-e-dāġh-dār meñ

qismat kī nā-rasā.iyāñ ba.ad-e-fanā rahīñ

mar ke bhī dafn ho na sakā kū-e-yār meñ

kyā pūchhte ho dil kā pata dil kā kyā pata

muddat huī ki mil gayā gard-o-ġhubār meñ

ḳhurshīd-e-hashr apnī dikhātā hai tābisheñ

maiñ so rahā huuñ gosha-e-dāmān-e-yār meñ

'hairat' ki tujh ko hairat-e-dīdār ho nasīb

aa dekh le tū shān-e-ḳhudā husn-e-yār meñ
SOURCE :
Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 128) Publication : Fine Books Printers (1993)
#madnichannel
#ilyasqadri
#dawateislami

Комментарии

Информация по комментариям в разработке