Tiflan E Muslim Noha 2021 | Mere Dono Shehzade | Ali Mohammad Sultanpuri Nohay 2021 | New Noha 2021

Описание к видео Tiflan E Muslim Noha 2021 | Mere Dono Shehzade | Ali Mohammad Sultanpuri Nohay 2021 | New Noha 2021

Tiflan E Muslim Noha 2021 | Mere Dono Shehzade | Ali Mohammad Sultanpuri Nohay 2021 | New Noha 2021

New Noha 2021/1443 Na Jane Kis Haal Main Honge Mere Dono Shehzade | Ali Mohammad Sultanpuri
#tiflanemuslim #newnoha2021 #alimohammadsultanpuri #nohay2021 #noha2021

Title - Na Jane Kis Haal Main Honge Mere Dono Shehzade | Noha 1443/2021
Related - Shahadat Tiflan E Muslim Bin Aqeel
Reciter - Ali Mohammad Sultanpuri
Poetry & Composition - Waiz Sultanpuri
Vocal Recording & Chorus - HDS 14
Audio - ODS
DOP - Zahid Ali
Edit by - Azmat Hyder
Video & Production - ‪@AzadariChittora‬

Lyrics:-

Muslim ki bewa hardam roti thi ye noha padh kar
Na jane kis haal me honge mere dono shahzade

Mai bhi nhi hun pass me ab na baap ka saya hai sar par
Na jane kis haal me honge mere shahzade

1. Jab se suna h kufe ke halat bahut hi badtar hain
Meri nazron me na jane kaise kaise manzar hain

Apne dil ke tukdo ko mai gar na paungi
Ruk jayengi sansen mai to mar jaungi

Har dam lagta hai wo bulate hain mujhko amma kah kar
Na jane kis haal me honge mere dono shahzade

2. Mera Mohammad (s) baap ke bin ek pal na kahin rah pata tha
Ibrahim (s) bhi baba ke bin chain kahin na pata tha

Apne dil ke tukdo ko mai gar na paungi
Ruk jayengi sansen mai to mar jaungi

Dono pedar se bichhde hain khate honge dar dar thokar
Na jane kis haal me honge mere dono shahzade

3. Kufe walon ne jab se mere wali ko maar diya
Kaanp raha hai mera kaleja ab to na jane kya hoga

Apne dil ke tukdo ko mai gar na paungi
Ruk jayengi sansen mai to mar jaungi

Kon mere dil ke tukdon ko ayega ab ghar lekar
Na jane kis haal me honge mere dono shahzade

4. Haye mere dono pardesi mere liye rote honge
Jane kya khate honge na jane kab sote honge

Apne dil ke tukdo ko mai gar na paungi
Ruk jayengi sansen mai to mar jaungi

Khana kon khilayega or kon lagayega bistar
Na jane kis haal me honge mere dono shahzade

5. Naaz mai apne baccho ke hardam mai uthaya karti thi
Chand sitaron ki tarah dono ko sajaya karti thi

Apne dil ke tukdo ko mai gar na paungi
Ruk jayengi sansen mai to mar Jaungi

Unki yaadein hardam mere dil pe chalati hain khanjar
Na jane kis haal me honge mere dono shahzade

6. Dono musafir hain tanha hain rat o din darte honge
Koi nahi hai puchne wala kaise basar karte honge

Apne dil ke tukdo ko mai gar na paungi
Ruk jayengi sansen mai to mar jaungi

Kufe se anjan hai donon kamsin hain or hain beghar
Na jane kis haal me honge mere dono shahzade

7. Mere khawab me aksar dono khoon me dube aate hain
Amma ham mushkil me hain ye kah kar ashk bahate hain

Apne dil ke tukdo ko mai gar na paungi
Ruk jayengi sansen mai to mar jaungi

Dono kahte hain ab hum lautenge kabhi na aye madar
Na jane kis haal me honge mere dono shahzade

8. "Waiz" us madar ka din kyu tukdo me na bat jaye
Jis ke shahzadon ka sar be jurmo khata hi kat jaye

Jis ke dono bacche mare jayen pyase
Or bachhon ka lasha dukhiya maa na dekhe

Kyu na nikle us dukhiya ke dil se sadayen rah rah kar
Na jane kis haal me honge mere dono shahzade


⚫Social Media:-
Subscribe : https://goo.gl/mf9Pi4
Want to chat? Hit me up on social media!
Instagram:   / azadarichittora  
Facebook:   / azadarichittora  

Комментарии

Информация по комментариям в разработке