Ya Ali Ya Hussain - lyrics

Описание к видео Ya Ali Ya Hussain - lyrics

Jo Mohammad ka wafadar hai
Allah uska-Karbala uski-Najaf uska-Madinah uska
Zindagi hai to bas Ali ki tarhaa
Maut aaye to Ya Hussain-Hussain

Ya Hussain x5

Ya Ali Ya Hussain

Aawaz e Muhammed ka
asar khatm na hoga x2
Thak jaayega suraj ye
safar khatm na hoga

Ya Ali Ya Hussain x3


1) Laraib ke Rasool ki dono hain zeb o zain
Pehlu me Ya Ali hai to (godi main Ya Hussain) ×2
Lauho khalam ka ilm ka Sadiq hai Ya Ali
Jab tak khuda ka mulk hai (malik hai Ya Hussain) x2
Ye ilm ka dar sabr ka ghar khatm na hoga
(thak jaaega suraj ye safar khatm na hoga) x2

2) Ye saltanat e ishq hai khuddaar milenge
Salman o Abuzar se (wafadar milenge) x2
Aashik yahaan Meesum se jigardaar milenge
Jeene ke liye marne pe (tayyar milenge) x2
Kat jaae zabaan ishq magar khatm na hoga
(thak jaaega suraj ye safar khatm na hoga) x2

3) Muslim bine Aqeel Safeer e Hussain hai
Hubbe Ali hai dil me (Musheer e Hussain hai) x2
Wo Baadshah aur ye Wazeer e Hussain hai
Aisa wazeer hai ke (faqeer e Hussain hai) x2
Ta hashr sifarat ka safar khatm na hoga
thak jaaega suraj ye safar khatm na hoga

Ya Ali Ya Hussain x3

4) Hur ko saqee Hussain ne aali bana diya
aisa ke Panjatan ka (sawaali bana diya) x2
Naad e Ali ne isko jalaali bana diya
Roomaale Fatemah ne (misaali bana diya) x2
Ye dar hai ata'on ka ye dar khatm na hoga
(thak jaaega suraj ye safar khatm na hoga) x2

5) Aye mere Rabb e Jaha'n aye Mohammad ke Khuda
Ye tera ishq hi thha jiski parwaz juda
(Ye tera ishq hi thha)x2
Panjatan se jo mila, ishq ka tere safar
ishq Haider me mila
Kabhi Mesum kabhi Mighdad wo Abuzar me mila
Kabhi Salman ke dil me kabhi Khambar me mila
aur maqtal me jo dekha to bahattar me mila
(layake ishq hai tu, tera jalwa har su) x2
Aye mere Rabb e Jahan
Aye Muhammad ke khuda
Ishq tu ne bhi kiya - wo Muhammad tera
Jiski chaahat ke liye ye jahan khalq kiya
(Woh tera ishq hi tha) x3
(Aye mere Rabb e Jahan) x2
ee'n ka jab ishq hua, wo sare Karbobala
Tera aashiq hai khada, khoon me dooba hua
De chuka laqte jigar, de chuka noor e nazar,
de chuka saara wo ghar
Aur khanjar ke tale, uska sajde me hai sar
Na namaz aisi, na aashiq ka kaleja aisa
Nauke naiza pe bhi karta hi raha zikr tera
(Ya Ali Ya Hussain) x3

6) Ek Zulfikhar khalq me do haath se chali
Daste Hussain o panja e Mushkil Kusha Ali
Ye Mustafa ki jaan wo Allah ka wali
Dono ka martaba bhi do aalam pe hai jali
Dono ka is kamaal se sajda ada hua
Haider se ibteda huwi yaa'n khaatema hua
Ya Ali Ya Hussain(3)

7) Hai waqt e asr marziye Parwardigaar hai
Ab pusht e Zuljanah pe Mola sawaar hai
Pehlu main khoon roti huwi Zulfikhar hai
Humraah Zuljanah bhi bohot dilfigaar hai
Qurban Zuljanah pe aur Zulfikhar par
Chalte thhe dono marziye Parwardigaar par
Ya Ali Ya Hussain x3

8) Jaisi woh Zulfikhar thhi waisa thha Zuljanah
Bachpan se saath-saath hi rehta thha Zuljanah
Be-misl o be-nazeer thha aala thha Zuljanah
Kyu'n kar na ho Rasool ne paala thha Zuljanah
Pehla sawaar to Nabi e kirdagaar hai
Aur doosra ye dooshe Nabi ka sawaar hai
Ya Ali Ya Hussain x3

9) Jeete jee jast sher ki chitman hiran ki aankh
Chalta thha dekh-dekh ke Shaahe Zaman ki aankh
Padti thhi yoo'n hareef pe us sar shikan ki aankh
Ladti ho jaise jung me shamsheer zan ki aankh
Tegh aai jispe uska bhi waar uspe chalgaya
Woh sar gira gayi to ye laasha kuchal gaya
Ya Ali Ya Hussain x3

10) Kehta thha Zulfikhar se ab meri jung dekh
Chal mere saath-saath zara mera rung dekh
Is pyaas me ladaai ka mera bhi dhung dekh
Raah e hayath kitno pe karta hoon thung dekh
Mana tu Zulfikhar hai marhab shikaar hai
Lekin ye dekh kaun ye mujh par sawaar hai
Ya Ali Ya Hussain x3

11) Simta, jamaa, uda, idhar aya, udhar gaya
Chamka, phira, jamaal dikhaya, tahar gaya
Teero'n se udke barchiyo'n me bekhatar gaya
Barhaq kiya sabho'n ko saro'n se guzar gaya
Aaya jo zad me iski ajal aagai use
Ek khaak padi uspe zameen kha gayi use
Ya Ali Ya Hussain x3

12) Allah re ladaai me shaukat Hussain ki
Jeete wo Zuljanah me zurrat Hussain ki
Qudrat ba-ghaur karti thhi surat Hussain ki
Qehre khuda se kam na thhi haibat Hussain ki
(Bole Ali Hussain) x2 ho ab bhi hawas me
Aisi to jung hum na lade bhook-o-pyaas me

Hussain Ya Hussain x3

13) Aayi sadaaye ghaib ke bas-bas Hussain bas
Dum le hawaa me jung e nafas bas Hussain bas
Garmi se haa'npta hai faras bas Hussain bas
Waqt e namaz e asr hai bas bas Hussain bas

Hussain Ya Hussain x3

14) Ye sunte thhe Hazrat jo laga pusht pe bhala
Qarboos pe tharra ke gire Hazrat e waala
Jibreel ne qadmon se rakaabo'n ko nikala
Aur haatho'n ko gardan me Yadullah ne daala
Dekha jo Zuljanah ne ghash khate zee'n par
Bas baitth gaya tek ke ghutno'n ko zamee'n par
Quran rehl e zee'n se sar e farsh gir pada
Deewar e Kaaba baitth gayi arsh gir pada
Ya Hussain Ya Hussain x 3

15) Chillaee'n Fatemah mera bacha hai be-gunaah
Aye arz e Nainawa mera bacha hai be-gunaah
Aye Nehr e Alqama mera bacha hai be-gunaah
Aye Zulfikhar tu hi bacha le Hussain ko
Aye Zuljanah tujhse me loongi Hussain ko
Ya Hussain x7

Sorry for inconvenience description too long

Pls subscribe, like..

Комментарии

Информация по комментариям в разработке