Sisak | Mukammal Fasana Ishq Ka

Описание к видео Sisak | Mukammal Fasana Ishq Ka

Sisak is India's First Silent LGBTQ Love Story
Written & Directed by Faraz Arif Ansari
Starring Jitin Gulati & Dhruv Singhal
Lyrics & Poem Rendition by Roma Urooj
Music Director: Dhawal Tandon
Director of Photography: Saurabh Goswami
Follow us on Facebook & Instagram - @Sisak.TheFilm

Mukammal Fasana Ishq Ka by Roma Urooj
Teri siskiyan tere gham ki akaasi kiye
Tera surat-e- haal bayaan kar gayi
Aansuon ke moti jo gire teri aankhon se
Tere dil ki pakeezgi ki gavaahi de gaye

Your silent cries, mirror your sorrow
While revealing your distressed situation
The pearl-like teardrops being shed from your eyes
Testify to the purity of your heart

Teri khamoshiyon mein chuppe alfaaz, kyun sunaayin dein mujhko
Teri dhadkanon ki tez awaaz, kya batana chahe mujhko
Hai tere mere rishte ki gehraayi kuch is qadar, is mein yak-lakht doobne ko dil kare
Hai kaisa yeh ajnabee ehsaas, jo tere kareeb aane par majboor kare

Why can I hear the hidden words in your silence?
What message is your racing heartbeat trying to convey to me?
The depth of our bond is such, that I feel a sudden urge to immerse myself in it
What is the cause of this unfamiliar emotion, that is drawing me closer to you?

Gham ke chaaye hue baadal, pal bhar mein door hue jaise
Teri ek jhalak paane par, jannat ka nazaara dikha ho jaise
Aaghosh mein teri kho jaane ko dil kare
Is zaalim zamaane se kahin door jaane ko dil kare

The dark clouds of sorrow, seem to suddenly disappear
One glance at you and I find myself in paradise
I want nothing but to fade away in your arms
And to run away from this ruthless world

Hai faani duniya se pare, thikana is be-laus ishq ka
Maana hai adhura, phir bhi lage kyun mukammal fasana is ishq ka

Our selfless love does not belong in this ephemeral world
Although incomplete, why does the tale of our love still feel complete?

Комментарии

Информация по комментариям в разработке