Zikr E Qalbi Ki Alamat!!!

Описание к видео Zikr E Qalbi Ki Alamat!!!

Zikr e Qalb ki alamaat kya hoti hain? Zikr e Qalbi ka tarika kya hai? This video the beautiful motivational video Another good informative video about,Zikr e Qalb ki alamaat. What is zikr e qalbi? Zikr e Qalbi, also known as zikr of Allah or silent dhikr, is practiced by the followers of Muslims Sufism. This method of Zikr e Qalbi focuses on the remembrance of Allah in his heart. What is Zikr of Allah? The "dhikr" or "Zikr" or religious prayer as pronounced "Zikr e Qalbi" and "Zikr of Allah" or prayer or prayer practiced by Muslim mystics (mysticism) to glorify God and achieve spiritual perfection. Aj hum is video mein bat karty hain Zikr e Qalb ki alamat kya hain? Jab kisi insane ko Zikr e Qalbi ata ho jaey to Zikr e Qalb ki barkat sy usey kya feel hota hai. Kya feelings hoti hain, samjh aa jaey ke Zikr e Qalbi ata ho gaya hai. Jo log zikr e Qalb start karney waley hoty hain, yad rakhein ke Zikr e qalb k 3 Tarika btaey hain hum ne zikr e qalbi ko start karney ke liye rat ko sote waqt shahadat ki ugli k sath dil per lafz Allah likhna ya fajar ki namaz k bad sufeed kaghaz per lafz Allah likhna ya bulb per lafz Allah likhna k dewaar per khobsorat lafz Allah nazar aey or usi lafz Allah ko piyar sy dekhty howey so jana. In 3 Tarika ke mutabik agr banda Zikr e qalb start karta hy or us ko agr dil ki dharkan mehsoos hoti hy to is sy muraad ye k us ko Zikr e Qalb ata ho gya. Yaani k Zikr e Qalb ki waja sy Dharkan ka tez ho jana is se muraad ke Zikr e Qalb ata ho gya hai. kuch log aise hain ke un ko dil ki dharkan me awaz ana shoro ho jati hy ke Allah ka zikr ho raha hai dil mein se zikr Allah Hoo, Allah Hoo. Start mein ye awaz thori hoti hai lakin aahista aahista jesey wo practice karty hain to mazeed ye tadaad ziyada honey lag jati hai. Yani k dil dharkan ziada or awaz ana ziada ho jati hai. Aur kaafi log aise bhi hain ke jin ko zikr e qalbi ata honey ki badolat un ke dil ke oper kaaley rang ka lafz Allah likha nazar ata. Dil k oper lafaz Allah sufeed rang b ho sakta hy. Golden rang mein bbhi ho sakta hai. jis tarah bhi lafz Allah nazar aey un ko zikr e qalbi ata ho jata hai. Kuch lucky log aise hoty hain, un ko lafz Allah likha bhi nazar ata hai aur awaz bhi ati hai. Kuch log aise hain ke un ko un k dil per roza e Rasool saws nazar ata hai. Un ke dil per naqsh howa nazar ata hai. Kuch log aise hain ke un ko dil per kaaba naazar ata hai. Kuch log aise hain k un ko apney ghar bethy howey kaaba nazar ata ya madeena munawara nazar ata hai. Kuch log aise ke un ko Zikr e Qalb ki Fazilat se aisa feel hota hai ko un k dil k oper wazan aa gaya ya dabao aa agya . kuch log aesey k un ko feel hota hy k un k Qalb ya seeney sy koi cheez latki howi hai. Is se bhi muraad hy k un ko b zikr e qalbi ata ho gya hy. Jis tarah mukhtalif insan hain usi tarah un ki feelings bhi mukhtalif hain. Kisi ko garmi feel hoti hy seeney aur Qalb me aur kisi ko thandak feel hoti hai. kisi ko sakoon mehsoos hota hy aur kisi ko jisam k mukhtalif hisso me pharkan feel hoti hai. Kyun ke zikr e qalbi ke zarye jo dil ki dharkan me hota hai, yahi Zikr e Qalbi khoon me shamil ho jata hai. To blood ka aik aik qatra zikr Allah karney lag jata hai . Kyun ke blood ke andar cell hn , cell k andar jab Zikr chala jata hy to blood k andar cell bhi Zikr karna start kar dete hain. Jis se jisam k mukhtalif hisso me Dharkan feel hona shoro ho jati hai. Us ko bhi zikr e qalbi ata ho jata hai. In tmam feelings me se agr ap ko koi b feeling aey to samjh jaen ke ap ko bhi Zikr e Qalbi ata ho gya hai. Start mein ye hota hy k pehley dil ki dharkan Zikr e Qalbi karti hai 5 hazaar dafa. Us k bad stop ho jati hy har 24 ghantey mein. Yani dil ki dharkan 5 hazaar dafa Zikr e Qalbi kar ke ruk jati hy. Banda jab mehnat karta hai, to taraqi hoti hai. Phir Zikr e Qalbi traqi kar jata hy. Phri 24 ghanty me Zikr e Qalbi 25 hazaar dafa ho jata hai. Us ke bad phir b kabi Zikr e Qalbi feel hoga aur kabi nahi ho ga. Laikn insan jab aur mehnat karta hai to mazeed Qalbi zikr traqi karta hai. Aur 24 ghanto me Zikr e Qalbi 72 hazaar dafa ho jata hy. Phir bhi kabi mehsos hota hai aur kabi nahi hota. Mazeed insan koshis karta hai to Zikr e Qalbi ki tadaad 125,000 sy b cross kar jata hy. phir zikr e qalb 24 ghantey feel hota hy dil ki dharkan me . aesey bandey ko 24 ghantey Zikr e Qalbi apney dil ki andar feel hota hy. #ZikrEQalbi #QalbiZikr #FikarEIqbal

More Related Videos Vist For

  / fikar_iqbal  
  / advocate-zuhaib-hafeez-218700805689062  
https://www.fikareiqbal.com

Комментарии

Информация по комментариям в разработке