Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha | Dasta e Imamia

Описание к видео Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha | Dasta e Imamia

ll بِسمِ اللہِ الرَّحمٰنِ الرَّحِيم ll

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha | Dasta e Imamia
-----------------------------------------------------------------------------
Recited By | Atir Haider
Kalam Title | Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha
Poetry | Masooma Sherazi
Video | Parwaaz Production
Social Media Team | Dasta e Imamia SMT
Chorus | Awn Rizvi & Co
Audio Recorded By | Lawa Studio
Islamic Date | 21 Ramzan 1441
Album | 2020 / 1441H

New Noha By Dasta e Imamia | on the Martyrdom of Imam Ali (ع) Many condolences to Prophet Muhammad (saww) & Alhalbait (a.s) and especially to Imam e Zamana (AJF).

✅ Facebook:
  / dastaeimamia.  .

✅ YouTube:
https://www.youtube.com/channel/UCxba...

✅ Twitter:
  / dasta_e_imamia  

✅ Telegram:
https://t.me/DastaEImamiaKarachi

✅ Sound Cloud:
  / 786-92-110  

FuztoBeRabilKaaba
FuztoBeRabilKaaba
FuztoBeRabilKaaba
FuztoBeRabilKaaba

Rab e Kaaba Ki Qasam Ali Kamiyaab Hogaya,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Shab e Siyah Say Zulmat Ka Marsiya Sun Kar,
Wuzu Tamam Kia Uth Kharay Hua Haider,
Hawa Nay Choom Lea Barh Kay Bud Shikan Kay Qadam,
Fizaa Nay Jhoom kay Naad e Ali Ki Khai Qasam,

Bujha Hawa e Sitam Say Chiraag e Hablillah,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Chalay Ameer Tou Murgabiyaan Tarapnay Lagean,
Dar e Batool pay Syedaniyan Sisaknay Lagean,
Zuban Pay Oarh Kay Takbeer Buturab Chalay,
Barhaa Kay Nutq Salooni Ki Aab o Taab Chalay,

Bujha Hawa e Sitam Say Chiraag e Hablillah,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Jahan Bugz Pay Barq Khuda Hai Zikr e Ali ,
Sitamgar'aan e Jahan Par Giraan Hai Adal Ali,
Hunain o Badar o Auhad Say Gard Bugz Urhi,
Hai Ahl e Kufr Ki Gardan Mai Misl e Toouq Pari,

Bujha Hawa e Sitam Say Chiraag e Hablillah,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Ali Kay Zikr Nay Kitnay Naqaab Chaak Kea,
Ali Kay Ishq Nay Kitnay Quloob Pak Kea,
Ali Ki Fikr Pay Naazan Hai Nasal Insaani,
Ali Kay Ilm Say Roshan Sha'ar Rehmani,

Bujha Hawa e Sitam Say Chiraag e Hablillah,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Diyaar Yaar Mai Goonji Nida e WajhaAllah,
Sada e Ishq Thi Subhan Rabi'al Ala,

Ruku Mai Jhuk Gaya Izzat Kay Asmaan Ka Sar,
Balaaen Leny Lagi Uth Kay Innama Ki Sahar,

Bujha Hawa e Sitam Say Chiraag e Hablillah,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Namaz e Ishq Ka Sajda Taweel Honay Laga,
Fizaa Mai Lehja Haider Yaqeen Boonay Laga,
Shaqawatoon Kay Alaao Say Raakh Uthnay Lagi,
Zameen Bugz Pay Lanat Ki Khaak Urhnay Lagi,

Bujha Hawa e Sitam Say Chiraag e Hablillah,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Utha Wo Dast e Siyah Noor Kay Ujalay Par,
Paari Woh Zarb Jafa Deen Kay Hawalay Par,
Bas Aik War Say Sadiyoon Kay Khuwaab Toot Gae,
Diloon Say Maan Sahar Say Payam Rooth Gae,

Bujha Hawa e Sitam Say Chiraag e Hablillah,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Lahu Mai Doob Gaya Rooe Baae BismAllah,
Zameen Kaanp Uthi Haanpta Tha Arsh Ulaa'a,
Jabeen Waqt Ki Rag Rag Mai Khoon Jamnay Laga,
Diyaar e Haq Ka Muqadar Lahu Mai Dhalnay Laga,

Bujha Hawa e Sitam Say Chiraag e Hablillah,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Ameer e Kon o Makaan Shah e Kainaat Ka Sar,
Pisar ki kaanpti Aagosh Mai Hai Khoon Say Tar,
Waha Pukaar Utha Budh Shikan Sar e Maqtal,
Namaz e Ishq Muqadam Hai Meray Laal Sambhal,

Bujha Hawa e Sitam Say Chiraag e Hablillah,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua,

Jawaar Koofa Say BhuKay Faqeer Nay Di Saada,
Hun Muntaxir Mera Haajat Rawan Nahi Aya,
Chiraag Jaltay Rahy Muntazir Rahin Aankhain,
Dar Yateem Pay Mushkil Kusha Nahi Aya,

Hai Arsh o Farsh Py Rooh Al Ameen ka Noha,
Garay Satoon Hidayat Jahan Yateem Hua

#ImamAli #DastaeImamia #21Ramzan #امام_علی #21رمضان

Комментарии

Информация по комментариям в разработке