Aa Kay Dekho To Kabhi | Adeem Hashmi | Sad Poetry

Описание к видео Aa Kay Dekho To Kabhi | Adeem Hashmi | Sad Poetry

#urdupoetry #sadpoetry #adeemhashmi

Poet : Adeem Hashmi
Recital: Mubashir Rehman Bhutta
Video Rights : ‪@HakraRecords‬



Complete Ghazal

آ کے دیکھو تو کبھی تم میری ویرانی میں
کتنے سامان ہیں اس بے سر و سامانی میں
Aa Kay Dekho To Kabhi Tum Meri Veraani Mein
Kitnay Samaan Hain Is Be Sar o Samani Mein
آج بھی دیکھ لیا اس نے کہ میں زندہ ہوں
چھوڑ آیا ہوں اسے آج بھی حیرانی میں
Aaj Bhi Dekh Lia Us Nein Keh Main Zinda Hoon
Chor Aya Hoon Usay Aaj Bhi Hairani Mein
ساتھ دینا ہے تو دے چھوڑ کے جانا ہے تو جا
تو اضافہ تو نہ کر میری پریشانی میں
Saath Deta Hai To Day Chor Kay Jana Hai To Jaa
Tu Izafa To Na Kar Meri Pareshani Mein
آسمانوں کی طرف جیسے الٹ جائیں مکان
عکس ایسے ہی نظر آئے مجھے پانی میں
Asmano Ki Taraf Jesy Ulat Jayein Makaan
Aks Aisay Hi Nazar Aye Mujhay Paani Mein
یوں تو بِچھنے کو بِچھی چادرِ سیلاب مگر
لہر کچھ اور بھی عریاں ہوئی طغیانی میں
Yun To Bichnay Ko Bichi Chadar e Sailab Magar
Lehr Kuch Aur Bhi Uryaan Hue Tughyani Mein
جی میں جادو ہی جگاتی چلی جاتی ہے عدیم
جانے کیا شے ہے نہاں صورتِ انسانی میں
Ji Mein Jadu Hi Jagati Chali Jati Hai Adeem
Janay Kia Shaye Hai Nihaan Surat E Insani Mein

عدیم ہاشمی - Adeem Hashmi


#poetry #hindi #shairi #urdu #daily #adab #hindishayari #urdupoetry #urduquotes #viral #viralpoetry #lines #trending #shairi #shayeri #shayeristatus #adeemhashmi #shairy #sadpoetry #sad #sadstatus #sad_status #sadshayari #sadpoetryinurdu #sadpoetry #sadshairi #sadsong #sadlines

Комментарии

Информация по комментариям в разработке