Safar e Imam Hussain (a.s) Noha 2024| Sath Mujhe Bhi Le Jao | Nohakhwan Murtuza Jazib |

Описание к видео Safar e Imam Hussain (a.s) Noha 2024| Sath Mujhe Bhi Le Jao | Nohakhwan Murtuza Jazib |

#safareimamhussain #murtuzajazib #nohay2024 #bibisughra #imamhussain #28rajab

BismiAllah🏴
Noha Safar E Imam Hussain (a.s)🏴
"SATH MUJHE BHI LE JAO"💔

Reciter | Murtuza Jazib
Central Idea & Concept | Team Murtuza Jazib
Poet | Sahil Cholasi
Composition | Rizwan Mirza & Murtuza Jazib
Translation | Syed Razi
Audio | Tee Zee Production
Chorus | Team Rizwan Mirza
Direction | Mehdi Hussain & Irfan Hyder
Camera | Akram Editor
Edits & Creativity | M-Creatives
Optimization & Online Distribution | RhythmReach Supports | Nohakhwan Shozab Abbas & Haïat e Karbala, Alipur

(LYRICS)
SOZ
Hussain karbobala jab chale madine se,
To apni beti ko roye laga ke seene se,
Hussain roye to roza nabi ka tharraya,
Utha ye shor ke zainab ko haye ghash aaya,

Pukari fatema sughra ke gham ki mari hoon,
Mujhe bhi le chalo main ladli tumhari hoon.

(CHORUS)
Sughra (s.a) Pidar Se Boli Rokar,
Sath Mujhe Bhi Le Jao × (2)

Mar jaongi tumse bichhad kar
Sath Mujhe Bhi Le Jao.....

(1)
Chhodta hai kya koi maseeha is tarha beemaro,n ko.
Tanhayi main roz takungi ghar ki in deewaro,n ko.

Tumko pukarungi main aksar.

(2)
Maine to socha tha baba mai sath tumhare jaongi.
Iski khabar bilkul bhi nahin thi main tanha rah jaongi.

Khali ho jayega bhara ghar.

(3)
Sath mujhe bhi lelo baba kuchh takleef na dungi main.
Wada karti hoon ke dava bhi baba khud pee lungi main.

Bojh banungi na main kisi par.

(4)
Chahe amari main na bithao mujhko azeezo,n ki tarha.
Fizza ke humraah chalungi main bhi kaneezo,n ki tarha.

Khadima hoon mat samjho dukhtar.

(5)
Kya guzregi ay baba jab shab ka andhera chhayega.
Maa,n baba aur bhai bahan main koi Nazar na aayega.

Mujhko lagega rato,n ko dar.

(6)
Aapki khatir to dadi ke bande kafan bhi toote the.
Hashr ka ik manzar tha suna jab maa,n se tum chhoote the.

Yaad to hoga sab wo manzar.

(7)
Maa,n se bichhadne ka dukh kya hai tumko khabar ye sari hai.
Tum bhi safar pe jate ho aur maa,n ki bhi tayyari hai.

Kya guzregi socho mujh par.


(8)
Aap ijazat do to usse seene se laga loo,n dambhar ko.
Bhai ko apne pyar to kar loo,n God main de do Asghar ko.

Dekh raha hai bhaiyya Asghar.

(9)
Rok qalam ko Sahil ab mola ne madeena chhod diya.
Shah ko pata hai kis dil se sughra ko tadapta chhod diya.

Jazib wo kahti thi barabar.
Sath Mujhe Bhi Le Jao.....

28 rajab noha 2024, 28 rajab noha, safar e imam hussain noha 2024, noha 2024 new, noha 28 rajab 2024, safar e imam hussain noha, 28 rajab rawangi imam hussain, new noha 2024, imam hussain noha, noha bibi sughra, bibi sughra noha 2024, 28 rajab noha new, new noha 28 rajab 2024, 28 rajab, safar e imam hussain, noha 28 rajab, noha 2024

Комментарии

Информация по комментариям в разработке