Utho Beta | Murtuza Jazib | Nohay Hazrat Ali Akbar (a.s) | 2023-1445H |

Описание к видео Utho Beta | Murtuza Jazib | Nohay Hazrat Ali Akbar (a.s) | 2023-1445H |

"FARYAAD E BIBI ZAINAB (s.a)
Title : UTHO BETA

Reciter : Nohakhwan Murtuza Jazib
Poetry : Sahil Cholasi
Composition : Murtuza Jazib & Shahkar Abbas
Soz : Shahrukh Abbas (Pak)
Translation : Syed Razi
Direction : Mehdi Hussain
Audio : Tee Zee Production
Chorus : Team Rizwan Mirza
Camera & Edits : Akram Editor
Support : Hai'at e Karbala, Alipur

Lyrics :
Lash khaime main jab aayi thi Ali Akbar ki
Gham main farzand ke halat thi ajab sarwar ki
Gir padi Maañ ki tarah lash pe akbar ki phuphi
Choom kar chahre ko akbar ke ye farmati thi

Haye haye ali akber haye akbar (2)
Kehti thi yeh Zainab ro ro kar..


Mai bulati hoon zara mujh ko sada de beta
Dard Kitna hai kaleje may bata de beta
Zakhm seene ka kisi ko toh dikha de beta
Ek lamhe ke liye hath hata de beta

Marjaongi warna Peet ke sar...


Poora ghar hogaya veeran tere jaane se
Reh gaya shaadi ka armaan tere Jane se
Ab hai tanha tahe zeeshan tere jane se
Tere maa ki bhi gayi jaan tere Jane se

Mar jaye na ab teri madar...

Kaisa Naiza tere seene me hai mara beta
Tere seene se lahu behgaya Sara beta
Tu ne ek baar phuphi ko na pukara beta
Kon ab dega shahe deeñ ko Sahara beta

Jab khayenge ran may teer o tabar...


Shirm se Bali sakina ko bachon kaise
Farz abbas ka bhi khud he nibhaon kaise
Aag kaimoñ me lage gi toh bujhaon kaise
Hosh me abide beemar ko laon kaise

Pani ka nahi qatra dilbar....

Naam se tere teri sugra ka khat aaya hai
Pehle safhe me shikayat me yeh farmaya hai
Kya mujhe bhool gaya jo nahi bulwaya hai
Sehra phoolon ka tere vaste bhejwaya hai

Wo baithi hui hogi dar par

Tu hame chhod gaya dukh yeh uthane ke liye
Ham toh zinda hain faqat ashk bahane ke liye
Uthja seene se sakina ko lagane ke liye
Mout hai marna tera sare gharane ke liye

Yeh daag uthe kaise dilbar


Hai qayamat ki ghadi aale eba par Sahil
Sab sada dete hain uthta nahi akbar Sahil
Tera Jazib bhi hai akbar ka sukhanwar Sahil
Ham Namazon me dua karte hain Aksar Sahil

Ek Baar Bulalo Roze Par

Eltemas-e-Dua
~ Nohakhwan Murtuza Jazib

Комментарии

Информация по комментариям в разработке