Deewan-e-Ghalib(# 116). Guncha-e-Na-Shagufta Ko Dur Se Mat Dekha. [Mirza Ghalib, Shayari, Poetry].

Описание к видео Deewan-e-Ghalib(# 116). Guncha-e-Na-Shagufta Ko Dur Se Mat Dekha. [Mirza Ghalib, Shayari, Poetry].

Read by Vikas Phonsa

ġhuncha-e-nā-shagufta ko duur se mat dikhā ki yuuñ
bose ko pūchhtā huuñ maiñ muñh se mujhe batā ki yuuñ

pursish-e-tarz-e-dilbarī kījiye kyā ki bin kahe
us ke har ek ishāre se nikle hai ye adā ki yuuñ

raat ke vaqt mai piye saath raqīb ko liye
aa.e vo yaañ ḳhudā kare par na kare ḳhudā ki yuuñ

ġhair se raat kyā banī ye jo kahā to dekhiye
sāmne aan baiThnā aur ye dekhnā ki yuuñ

bazm meñ us ke rū-ba-rū kyuuñ na ḳhamosh baiThiye
us kī to ḳhāmushī meñ bhī hai yahī mudda.ā ki yuuñ

maiñ ne kahā ki bazm-e-nāz chāhiye ġhair se tahī
sun ke sitam-zarīf ne mujh ko uThā diyā ki yuuñ

mujh se kahā jo yaar ne jaate haiñ hosh kis tarah
dekh ke merī be-ḳhudī chalne lagī havā ki yuuñ

kab mujhe kū-e-yār meñ rahne kī vaz.a yaad thī
ā.ina-dār ban ga.ī hairat-e-naqsh-e-pā ki yuuñ

gar tire dil meñ ho ḳhayāl vasl meñ shauq kā zavāl
mauj muhīt-e-āb meñ maare hai dast-o-pā ki yuuñ

jo ye kahe ki reḳhta kyūñke ho rashk-e-fārsī
gufta-e-'ġhālib' ek baar paḌh ke use sunā ki yuuñ


https://www.rekhta.org/ghazals/guncha...

#mirzaghalib #ghalib #ghalibkishayari #shayari #ghazal #urdupoetry #urdushayari

Комментарии

Информация по комментариям в разработке