Noha Recitation Arabeen Juloos 2024 Hyder TV Canada | Ali Saqalain Hilal Naqvi Heart Touching Noha

Описание к видео Noha Recitation Arabeen Juloos 2024 Hyder TV Canada | Ali Saqalain Hilal Naqvi Heart Touching Noha

Noha: Qafila Haq Ka Hai Tayyar, Alam Le Ky Chalo
Poet: Dr Hilal Naqvi
Original Reciter: Atir Haider
Video Courtesy: Hyder TV Canada
Location: Hussainiya Passmore, Scarborough

Lyrics:
Qafla huq ka hay tayyar alam lay kay chalo
Jo alamdaar tha uska wo hasham lay kay chalo

Ao Abbas say sekhain' kay wajahat kia hay
Huq pay aanch aay to phir hukm e shariyat kia hay
Jo taraai may adaa ki wo ibaadat kia hay
Yeah ibaadat, yeah tajammul, yeah karam lay kay chalo

Jo alamdaar tha uska wo hasham lay kay chalo
Qafla huq ka hay tayyar alam lay kay chalo



Un kay pairo ho to phir syed o sardar bano
Aag seno may liay shola e beydaar bano
Zulfiqar e Asadullah ka kirdaar bano
Huq pay aanch aay to phir taigh e do dum lay kay chalo

Jo alamdaar tha uska wo hasham lay kay chalo
Qafla huq ka hay tayyar alam lay kay chalo


Ab bhi paigham e wafa huq ki qasam zinda hay
Ab bhi piyaso ka wohi jaah o hasham zinda hay
Sazishain' mar gain mazloom ka ghum zinda hay
Sari duniya may yeah mazloom ka ghum lay kay chalo

Jo alamdaar tha uska wo hasham lay kay chalo
Qafla huq ka hay tayyar alam lay kay chalo



Khaak aur khoon may at'ta hay yeah chehra to atay
Sir jo katna hay rah e huq may to phir sir bhi katay
Jub ho maqtal may kar'a waqt to pechay na hatay
Wo jo bar'hta rahay agay wo qadam lay kay chalo

Jo alamdaar tha uska wo hasham lay kay chalo
Qafla huq ka hay tayyar alam lay kay chalo


Nusrat e huq may jo hur aay to tazeem karo
Jin say zinda hay wafa unki bhi takreem karo
Apnay lafzo may bhi batil ko na tasleem karo
Apnay lahjay may bhi tardeed e sitam lay kay chalo

Jo alamdaar tha uska wo hasham lay kay chalo
Qafla huq ka hay tayyar alam lay kay chalo


Tum hussaini ho tumhay paas e wafa rakhna hay
Paish mabood tumhay dast e dua rakhna hay
Ansoon' may jo diya hay wo jala rakhna hay
In hi ashkon' ki qasam deeda e num lay kay chalo

Jo alamdaar tha uska wo hasham lay kay chalo
Qafla huq ka hay tayyar alam lay kay chalo


Baad e shabeer jo zainab nay liya sabr say kaam
Hum ko karna hay usi maqsad e mazloom ko aam
Goshay goshay may pohnch jaay aseeron' ka payam
Ja baja tazkira e ahl e haram lay kay chalo

Jo alamdaar tha uska wo hasham lay kay chalo
Qafla huq ka hay tayyar alam lay kay chalo

Haey wo chota sa lashkar, wo ghareeb al ghuraba
Asar e ashoor talak in may say koi na bacha
Bhool saktay nahi is karb ko hum ahl e azaa
Dil may yeah sooz, yeahi runj o alam lay kay chalo

Jo alamdaar tha uska wo hasham lay kay chalo
Qafla huq ka hay tayyar alam lay kay chalo


Tumko likhna hay jo rodaad wafaaon' ki hilaal
Unki rodaad likho jin ko na aay ga zawaal
Apnay nohay may rahay tumko shaheeon' ka khayal
Noha jo khoon say likhay wo qalam lay kay chalo

Jo alamdaar tha uska wo hasham lay kay chalo
Qafla huq ka hay tayyar alam lay kay chalo

Комментарии

Информация по комментариям в разработке