Lucknow Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Описание к видео Lucknow Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Rahat Indori Books - https://amzn.to/32vaVvN

Kisne dastak di ye dil par kaun hai
Aap to andar hain bahar kaun hai

-

Log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyu hain
Itna darte hain to phir ghar se nikalte kyu hain

-

Naye safar ka naya intezaam keh denge
Hawa ko dhoop charagon ko shaam keh denge

Kisi se haath bhi chhupkar milaiye warna
Ise bhi maulvi sahab haraam keh denge

-

Ishare jaan leta hai wafadari samajhta hai
Jo dil me baat hai Radha ke Girdhari samajhta hai

Main ek ek lafz ki tasveer ban jata hu mehfil me
Wo jahil mere is fan ko adakari samajhta hai

Kasida kis tarah likhna kasida kis tarah padhna
Wo kuch samjhe na samjhe rag darbari samajhta hai

-

Garaz na subh ke aane na shab ke jane se
Guzar rahi hai isi haal me zamane se

Behekte rehne ki aadat hai mere kadmo ko
Sharabkhane se niklu ke chaikhane se

Hua hai samna phir zindagi ka arse baad
Bahot dino me purani mili purane se

Nasihatein na karo ishq karne walo ko
Ye aag aur bhadak jayegi bujhane se

-

Ye barf raate bhi bankar abhi dhuan ud jaye
Wo ek lihaf main odhu to sardiyan ud jaye

Bahot guroor hai dariya ko apne hone par
Jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan ud jaye

Hawayein baaz kaha aati hai shararat se
Saro pe hath na rakhein to pagdiyan ud jaye

Bikhar bikhar si gayi hai kitab sanson ki
Ye kagzat khuda jane kab kaha ud jaye

Rahe khayal ke mazzub e ishq hain hum log
Agar zameen se phuke to aasman ud jaye

Zamin se ek talluk ne bandh rakha hai
Badan me khoon nahi ho to haddiyan ud jaye

-

Ye zindagi sawal thi jawab mangne lage
Farishte aake khwab me hisab mangne lage

Idhar kiya karam kisi pe aur idhar jata diya
Namaz padhke aaye aur sharab mangne lage

Main jugnuon ko munh lagake uljhano pe pad gaya
Ye bevakuf mujhse aaftab mangne lage

-

Jo de rahe hain tumhe phal pake pakaye hue
Ye ped tumko mile hain lage lagaye hue

Zamin odhke soye hain sari duniya me
Na jane kitne sikandar thake thakaye hue

Ye kya zaruri hai ke ghazle bhi khud likhi jaye
Kharid layenge kapde sile silaye hue

Hamare mulk me khadi ki barkatein hai miyan
Chune chunaye hain sare chhate chhataye hue

-

Bimar ko maraz ki dawa deni chahiye
Main pina chahta hu pila deni chahiye

Allah barkaton se nawazega ishq me
Hain jitni punji paas laga deni chahiye

Ye dil kisi fakir ke hujre se kam nahin
Duniya yahin pe lake chhupa deni chahiye

Main phool hu to phool ko guldan ho naseeb
Main aag hu to aag bujha deni chahiye

Main khwab hu to khwab se chonkaiye mujhe
Main neend hu to neend uda deni chahiye

Main jabr hu to jabr ki tayeed band ho
Main sabr hu to mujhko dua deni chahiye

Main taj hu to taj ko sar par sajaye log
Main khak hu to khak uda deni chahiye

Sach baat kaun hai jo sar e aam keh sake
Main keh raha hu mujhko saza deni chahiye

Sauda yahi par hota hai Hindostan ka
Sansad bhawan me aag laga deni chahiye

#RahatIndori #rahatkishayari

Комментарии

Информация по комментариям в разработке