Lucknow Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Описание к видео Lucknow Mushaira - rahat.ki.shayari | Dr. Rahat Indori | Rahat Indori Mushaira

Gulab khwab dawa zeher jam kya kya hai
Main aa gaya hu bata intezam kya kya hai

Faqir Shah Qalandar Imam kya kya hai
Tujhe pata nahi tera ghulam kya kya hai

Ameer e shahar ke kuch karobar yad aye
Main raat soch raha tha haram kya kya hai

-

Ye zindagi sawal thi jawab mangne lage
Farishte aake khwab me hisab mangne lage

Main jugnuo ko mu lagake uljhano me pad gaye
Ye bevakuf mujhse aftab mangne lage

Idhar kiya karam kisi pe aur idhar jata diya
Namaz padh ke aye aur sharab mangne lage

-

Charagon ko uchhala ja raha hai
Hawa par rob dala ja raha hai

Mere jhuthe gilaso ki chakhakar
Bahakton ko sambhala ja raha hai

Hamin buniyad ka patthar hain lekin
Hume ghar se nikala ja raha hai

Janaze par mere likh dena yaro
Mohabbat karne wala ja raha hai

-

Ye barf rate bhi bankar abhi dhuan ud jaye
Wo ek lihaf main odhu to sardiyan ud jaye

Bahot gurur hai dariya ko apne hone par
Jo meri pyas se uljhe to dhajjiyan ud jaye

To maine socha safar multavi hi rakha jaye
Thi aisi andhi wo barish ke chhatriyan ud jaye

Rahe khayal ke mazzub e ishq hain hum log
Agar zameen se phuke to asman ud jaye

Bikhar bikhar si gayi hai kitab sanso ki
Ye kagzat khuda jane kab kaha ud jaye

Zami se ek talluk ne bandh rakha hai
Badan me khoon nahi ho to haddiya ud jaye

-

Bimar ko maraz ki dawa deni chahiye
Main pina chahta hu pila deni chahiye

Allah barkato se nawazega ishq me
Hai jitni punji pas laga deni chahiye

Mujhko bhi chahiye ke karu khudka samna
Tujhko bhi ab naqab utha deni chahiye

Ye dil kisi faqir ke hujre se kam nahi
Duniya yahi pe lake chupa deni chahiye

Main phool hu to phool ko guldan ho naseeb
Main aag hu to aag bujha deni chahiye

Main khwab hu to khwab se chokaiye mujhko
Main neend hu to neend uda deni chahiye

Main jabr hu to jabr ki tayid band ho
Main sabr hu to mujhko dua deni chahiye

Main taj hu to taj ko sar par sajaye log
Main khak hu to khak uda deni chahiye

Sach baat kaun hai jo sar e aam keh sake
Main keh raha hu mujhko saza deni chahiye

Sauda yahi pe hota hai Hindostan ka
Sansad bhawan me aag laga deni chahiye

-

Suraj sitare chand mere sath me rahe
Jab tak tumhare hath mere hath me rahe

Shakho se toot jaye wo patte nahi hain hum
Andhi se koi keh de ke aukat me rahe

-

Ye alag baat ke khamosh khade rehte hain
Fir bhi jo log bade hain wo bade rehte hain

Aise darveshon se milta hai hamara shijra
Jinke juto me kai taj pade rehte hain

-

Is duniya ne meri wafa ka kitna uncha mol diya
Pairon me zanjeere dali hatho me kashkol diya

Jab bhi koi inam mila hai mera naam bhi bhul gaya
Jab bhi koi ilzam laga hai mujhpar lakar dhol diya

Ab gham aye khushiya aye maut aye ya tu aye
Maine to bas aahat payi aur darwaza khol diya

-

Masiha dard ke humdard ho jaye to kya hoga
Rawadari ke jazbe sard ho jaye to kya hoga

Jo ye lakho karodo panch waqto ke namazi hain
Agar sachmuch me dehshatgard ho jaye to kya

-

Ho lakh zulm magar baddua nahin denge
Zamin ma hai zamin ko daga nahin denge

Hume to sirf jagana hai sone walo ko
Jo dar khula hai waha hum sada nahin denge

Rivayaton ki safe todkar badho warna
Jo tumse aage hain wo rasta nahin denge

Sharab pi ke bade tajurbe hue hain hume
Shareef logo ko hum mashvara nahin denge

#RahatIndori #rahatkishayari

Комментарии

Информация по комментариям в разработке