Aashiyan Jal Gaya | Raaz Allahabadi | Sad Urdu Poetry | Heart Touching Poetry

Описание к видео Aashiyan Jal Gaya | Raaz Allahabadi | Sad Urdu Poetry | Heart Touching Poetry

Urdu Poetry By Raaz Allahabadi
Recital Ahsan Shakeel

Aashiyan jal gaya, gulsitan lut gaya, hum qafas se nikal kar kidhar jaenge

Itne manus sayyaad se ho gae, ab rihai milegi to mar jaenge

Aur kuchh din ye dastur-e-mai-khana hai, tishna-kaami ke ye din guzar jaenge

Mere saqi ko nazren uthane to do, jitne khali hain sab jam bhar jaenge

Ai nasim-e-sahar tujh ko un ki qasam, un se ja kar na kahna mera haal-e-gham

Apne mitne ka gham to nahin hai magar, dar ye hai un ke gesu bikhar jaenge

Ashk-e-gham le ke aakhir kidhar jaen ham, aansuon ki yahan koi qimat nahin

Aap hi apna daman badha dijiye, warna moti zamin par bikhar jaenge

Kale kale wo gesu shikan-dar-shikan, wo tabassum ka aalam chaman-dar-chaman

Khinch li un ki taswir dil ne mire, ab wo daman bacha kar kidhar jaenge

Комментарии

Информация по комментариям в разработке