New Noha 2024 | Royi Bhot Yateem Sakina Nasheb Me | Anjuman Sipahe Hussain Bhanauli | 27 Moharram

Описание к видео New Noha 2024 | Royi Bhot Yateem Sakina Nasheb Me | Anjuman Sipahe Hussain Bhanauli | 27 Moharram

Shabbedari 18 Bani Hashim Bhanauli Sadat
Minjanib Anjuman Sipah-e-Hussaini Bhanauli
New Noha 2024/1446 | Royi Bahot Yateem Sakina Nasheb Mein
Anjuman Sipahe Hussaini Bhanauli Sadat Noha 2024
New Noha Bibi Sakina s.a | Noha Imam Hussain a.s

Related - New Noha Shaam E Ghareeba (ghareebo ki shaam) 1446/2024 | Muharram 1446 New Noha 2024, 10 Muharram Noha 2024

Topic - Royi Bahot Yateem Sakina Nasheb Mein
Poetry & Composition - Janab Waiz Hasan Sultanpuri sb.
Recited by - Anjuman Sipahe Hussaini Bhanauli Sadat

Lyrics - Royi Bahot Yateem Sakina Nasheb Mein

Sunsaan ban wo raat wo uthta huwa dhuwan
Nikli padar ko dhoondne nanhi si ek Jan
Kahti thi baba Jaan batado ke ho kahan
Ek laash ne ye roke kaha meri jan yahan
Lekar isi sada ka sahara paoch gai
Rote huwe nasheb me dukhya pahoch gai

Besar jab apne baap ko dekha nasheb me
Roi bahot yateem sakeena nasheb me


1.
Maqtal me lash bap ki jab sar kati mili
Thi umr char saal ki bachi tarap gayi
Beti jab apne baap ko pehchan na saki
Awaz ya abata ki yateema ne roke di
Lasha ghareeb baap ka bola nasheb me

2.
Likha hai rawiyo ne wo manzar bada ajeeb
Jangal wo kali raat wo ghubat wo gham naseeb
Awaz sunke baap ki pohchi hai jab qareeb
Halat padar ki dekh ke royi bohat ghareeb
Beti ke sath baap bhi roya nasheb me

3.
Age badhi hussain ki mazloom ghamzada
Teero se jism bap ka dekha bhara hua
Ghabra ke teer jism se karne lagi juda
Kamsin thi koi teer na us se nikal saka
Paya na jab hussain ka seena nasheb me

4.
Khali na pai jism pe teeron se koi jaa
Karne lagi tawaf wo baba ki laash ka
Mayoos ho ke paiti baithi wo gam zada
Rukhsar apna baap ke talwon pe rakh diya
Lekar padar ke paaun ka bosa nasheb me

5.
Apne padar ki lash pe Le le ke siskiyan
Wo apna dard baab se karne laghi bayan
Ruk par bani thi saaf Jo zalim ki ungliyan
Bachi ne jab dikhaye tamachon ke wo Nishan
Zakhmi badan husain ka tadpa nasheb me

6.
Fir ye kahne lagi ro ro ke yateema baba
Mere baalon ko sitamgar ne jo pakda baba
Mara zalim ne mujhe aisa tamacha
baba
Chha Gaya meri nigahon me andhera baba

7.
Kahti thi Mai yateemi hun mujhpar na waar kar
Ki minnaten bahot ki Zara intezaar kar
Mai de Rahi thi shimr ko bunde utaar kar
Chhine hain be rahem ne magar mujhko maar kar
Ye dard jab padar ko sunaya nasheb me

8.
Waiz likhe ga kaun yateema ki bekasi
Lashe shahe Zaman se wo jis dam juda huwi
Lagta tha ab jiye gi na Bachi husain ki
Jane lagi nasheb se jab shah ki ladli
Baba ko apne chor ke tanha nasheb me

New Noha 2024, roi bahot yateem sakina nasheb mein, nohay, noha 2024, imam husain noha, 28 Rajab Noha, noha 28 Rajab, safer e imam husain, muharram noha, nauha, noha new, noha bibi zainab, ya husain, noha status , bibi zainab masaib, noha muharram, anjuman sipahe husaini bhanuli noha, newnohastatus, 2024 new noha, noha imam husain, nohabibifatima, amma lahu luhan noha azadari, anjuman bhanauli, bhanauli sadat 2024, live noha noha bhanauli, Bhanauli sadat nohay, anjuman sipahe hussaini nohay, bhanoli sadat new nauha, azadari bhanauli, haider raza, zuhair qain, anjuman sipahe hussaini bhanauli sadat, 22 moharram 2024 katghar kamal. noha, juloose shohda-e-karbala katghar kamal

Hashtag:-
#newnoha2024​ #azadaribhanauli​ #noha2024​ #anjumansipahehussainibhanaulisadat



https://amzn.to/4cl8Gcv




Social Media

YouTube :    / sipahehussaini  

Facebook :   / sipahehussaini7  

Instagram:   / sipahe_hussaini  

Комментарии

Информация по комментариям в разработке