Zikr E Qalbi Jari Hone Ki Nishaniyan Kya Hain?!!!

Описание к видео Zikr E Qalbi Jari Hone Ki Nishaniyan Kya Hain?!!!

Zikr E Qalbi Jari Hone Ki Nishaniyan Kya Hain? sab se pehle Zikr kya hai aur Zikr e Qalbi kya hai? Zikr ka Matlab hai Allah ki Yad yani Allah ka Zikr karna, aur Qalbi ya Qalb mean asan lafzon mein Dil hai yani Allah ka Zikr karna wo bhi dil ki dharkanon ke sath jisy Zikr e Qalbi ya Qalbi Zikr kehte hain. Zikr e Qalbi ka Tarika: Zikr e Qalbi ka Tarika ye khamoshi ke sath dil ki dharkanon mein Zikr kiya jata hai is liye is ko Qalbi Zikr kehte hain kyun ke ye khamoshi se kiya jata hai dil hi dil mein to is liye Zikr e Qalbi ko hi Zikr e Khafi bhi kehte hain aur isi Zikr ko English mein Silent Zikr kaha jata hai. Zikr e khafi or Silent zikr or Zikr e Qalbi or Qalbi Zikr dharhaqeeqat is asal mein is Zikr ka maqsad hota hai apne Qalb ki taharat karna yani dil se Allah ka Zikr karna hai. Ab yahan sawal ye paida hota hai ke Zikr E Qalbi jari kaise hota hai? To mere aziz dosto Zikr e Qalbi ko jari karne ke liye ap ko apne dil ki dharkanon ke sath hi Allah ka Zikr karna hota hai jab ap Zikr pabandi se karte rehte hain to Zikr e Qalbi khud na khud hi jari ho jata hai. Zikr E Qalbi Jari Hone Ki Nishaniyan Kya Hain? Zikr e Qalbi jari hone ki Nishaniyan ye hain ke Zikr ke doran ap ke dil ki dharkanen tez ho jati hai, ap ko khud feel ho raha hota hai ke dil bhi zor zor se Zikr kar raha hai, aur kabhi to ap ko apne feel ho ga ke ap ke seene mein aik nahi do dil hain Zikr ki waja se ap ko seene mein dono taraf dharkan feel ho gi, ye sab Zikr e Qalbi jari hone ki Nishaniyan hain. Isnan shoro shoro mein jab Zikr e Qalbi start karta hai to us ki nishaniyan ye hain ke kabhi us ko apne dil ki dharkan feel ho ke tez tez dhakar bhi rahi hai aur zor zor se Allah ka Zikr bhi kar rahi hai, aur kabhi Zikr ke douran dhakan feel hi nahi ho gi, lakin is ka ye matlab hargiz hi nahi hai ke ap ka Zikr e Qalbi jari nahi howa, ap ka Zikr to jari ho jata hai ye bhi aik nishani hai, shoro mein 3 se 4 sal tak ap ko Zikr e Qalbi ke douran kabhi dharkan feel ho gi aur kabhi bilkul hi feel nahi hogi lakin is ka ye matlab hargiz nahi hai ke ap ka Zikr e Qalbi jari nahi howa. Aik dost ne sawal kiya hai ke Zikr e Qalbi us ne start kiya hai to ab su ko dil ke sath sath jism ke mukhtalif hison mein dil ki dharkan feel hoti hai. To mere aziz dost ye Zikr E Qalbi jari hone ki nishani hai, kyun ke Zikr e Qalbi dil ki dharkanon ke sath kiya jata hai, jab Zikr e Qalbi jari hota hai to dil ke sath sath pore jism mein bhi khoon mein shamil ho jata hai, to phir ap ke jism ka aik aik zara bhi Zikr e Qalbi jari hone ki waja se Allah ka Zikr karta hai. #ZikrEQalbi #QalbiZike #FikarEIqbal

More Related Videos Vist For

  / fikar_iqbal  
  / advocate-zuhaib-hafeez-218700805689062  
https://www.fikareiqbal.com

Комментарии

Информация по комментариям в разработке