Bekhud Dehlvi - Chheen Kar Dil Liye Jate Ho Ye Kya Karte Ho - GHAZAL SHAYARI - Best Urdu Poetry

Описание к видео Bekhud Dehlvi - Chheen Kar Dil Liye Jate Ho Ye Kya Karte Ho - GHAZAL SHAYARI - Best Urdu Poetry

Urdu Poetry of Bekhud Dehlvi
Ghazal: Chheen Kar Dil Liye Jate Ho Ye Kya Karte Ho
Recitation: Raheel Farooq

چھین کر دل لیے جاتے ہو یہ کیا کرتے ہو

بیخودؔ دہلوی کی بہترین غزل - اردو شاعری

---------

LEHJA - A CLASSIC URDU POETRY CHANNEL

Lehja (لہجہ) is an Urdu literary (adabi) channel on YouTube. We produce recitations (voice over) of the masterpieces of Urdu poetry. Shayari of Asatiza (the greatest poets of Urdu) narrated by Raheel Farooq with classical melodies in the background is an experience people of taste can relish nowhere else. SUBSCRIBE NOW!    / recitation  

LEHJA PODCAST

Listen to Lehja on all major podcast and music streaming platforms including iTunes, Spotify, Deezer, Amazon Music/Audible, Stitcher, iHeartRadio, JioSaavn & Gaana.com.

https://anchor.fm/urdurecitation

LEHJA STORE

Love the classics? Buy the classics!

T-shirts, mugs, tote bags, phone cases and more with Urdu art.

https://store.recitation.net

FOLLOW US

Facebook:   / urdurecitation  
Twitter:   / urdurecitation  
Instagram:   / urdurecitation  
Reddit:   / urdurecitation  
Tumblr: https://poetryrecording.com

SUPPORT US

Patronize:   / urdu  

---------

POETRY TEXT:

مکمل غزل کا اردو متن:

بزمِ دشمن میں بلاتے ہو یہ کیا کرتے ہو
اور پھر آنکھ چراتے ہو یہ کیا کرتے ہو

بعد میرے کوئی مجھ سا نہ ملے گا تم کو
خاک میں کس کو ملاتے ہو یہ کیا کرتے ہو

ہم تو دیتے نہیں کچھ یہ بھی زبردستی ہے
چھین کر دل لیے جاتے ہو یہ کیا کرتے ہو

کر چکے بس مجھے پامال عدو کے آگے
کیوں مری خاک اڑاتے ہو یہ کیا کرتے ہو

چھینٹے پانی کے نہ دو نیند بھری آنکھوں پر
سوتے فتنے کو جگاتے ہو یہ کیا کرتے ہو

ہو نہ جائے کہیں دامن کا چھڑانا مشکل
مجھ کو دیوانہ بناتے ہو یہ کیا کرتے ہو

محتسب ایک بلانوش ہے اے پیرِ مغاں
چاٹ پر کس کو لگاتے ہو یہ کیا کرتے ہو

کام کیا داغِ سویدا کا ہمارے دل پر
نقشِ الفت کو مٹاتے ہو یہ کیا کرتے ہو

پھر اسی منہ پہ نزاکت کا کرو گے دعویٰ
غیر کے ناز اٹھاتے ہو یہ کیا کرتے ہو

اس ستم کیش کے چکموں میں نہ آنا بیخودؔ
حالِ دل کس کو سناتے ہو یہ کیا کرتے ہو

Full Ghazal in Roman Text (Credits: Rekhta):

bazm-e-dushman meñ bulāte ho ye kyā karte ho
aur phir aañkh churāte ho ye kyā karte ho

ba.ad mere koī mujh sā na milegā tum ko
ḳhaak meñ kis ko milāte ho ye kyā karte ho

ham to dete nahīñ kuchh ye bhī zabardastī hai
chhīn kar dil liye jaate ho ye kyā karte ho

kar chuke bas mujhe pāmāl adū ke aage
kyuuñ mirī ḳhaak uḌāte ho ye kyā karte ho

chhīñTe paanī ke na do niiñd bharī āñkhoñ par
sote fitne ko jagāte ho ye kyā karte ho

ho na jaa.e kahīñ dāman kā chhuḌānā mushkil
mujh ko dīvāna banāte ho ye kyā karte ho

mohtasib ek balā-nosh hai ai pīr-e-muġhāñ
chaaT par kis ko lagāte ho ye kyā karte ho

kaam kyā dāġh-e-suvaidā kā hamāre dil par
naqsh-e-ulfat ko miTāte ho ye kyā karte ho

phir isī muñh pe nazākat kā karoge da.avā
ġhair ke naaz uThāte ho ye kyā karte ho

us sitam-kesh ke chakmoñ meñ na aanā 'beḳhud'
hāl-e-dil kis ko sunāte ho ye kyā karte ho

#UrduPoetry #Urdu #Shayari

Комментарии

Информация по комментариям в разработке