10 Muharram Noha 2024 | KAT RHA HAI BAAP KA GALA | Shabih Abbas Arfi Nohay 2024

Описание к видео 10 Muharram Noha 2024 | KAT RHA HAI BAAP KA GALA | Shabih Abbas Arfi Nohay 2024

10 Muharram Noha 2024 | KAT RHA HAI BAAP KA GALA | Shabih Abbas Arfi Nohay 2024

Maksoos 10 Muharram Noha 1446/2024

PRODUCED by Azadari Chitora

#newnoha2024 #nohay2024 #noha2024 ##shabihabbasarfi #ashura #ashra #ashoora #10muharram #azadari_chitora #muharram2024 #10muharramnoha #newnohay2024 #newnohay

Title - Kat Raha Hai Baap Ka Gala | New Noha 1446/2024
Related - 10 Muharram Noha 2024 | Noha Shahadat Mola Hussain(a)
Reciter - Shabih Abbas Arfi
Poet & Composition- Waiz Sultanpuri sb
Vocal & Chorus - HDS 14
Audio - ODS
Edit By - Azmat Hyder
Video & Production - ‪‪@AzadariChittora‬

Lyrics

Sabr sakina ko de khuda kat Raha hai baap ka gala
Ro rahi hai sheh ki mehlaqa kat Raha hai baap ka gala

1
chad gya hai seena e hussain par sitamgar
Or dikha raha hai ghamzada ko kund khanjar
Dodti hai baap ki taraf jo binte sarwar
Zalemeen dante he barchhhiyan dikhakar
Dar se Kanpti Hai Ghamzada

2
Kaise apne baap ke qareeb jaye pyari
Kar Rahi hai koshishen bohot ghamo ki maari
Ab kare to kya kare hussain ki dulari
Kis tarha bachaye apne baap ko bechari
Ho na Jaye tan se sar juda kar raha hai

3
Jis taraf bhi dekhti hai hain ghamo ke saye
Ab nahi hai koi aasra Jo ban ke aaye
Baap ki madad ke waste kise bulaye
ro rahi hai soch soch kar kidhar ko jaaye
Dikh nahi Raha hai rasta kat Raha hai baap ka gala

4
Keh rahi hai alqama hai kis taraf bata de
Ya Najaf ka koi mujhko rasta dikha de
Mere baba Jaa'n ko koi mere paas laa de
Ya to koi shimr ko qareeb se hata de
Phat Raha hai ab jigar Mera kat Raha hai baap ka gala

5
Dukhtare hussain ke labon pe ye sada hai
Ab mere naseeb main na jane kya likha hai
Shimr mere baba Jaan ke qatl par Tula hai
Main yateem ho na jaun Dil dhadak raha hai
Dard hai ye maut se bada

6
Keh Rahi Hai baap ke qareeb jaungi main
Apne baba Jaan ko gale lagaungi main
Khaak par gire hain wo unhe uthaungi me
Ret un ke zakhm zakhm se chudaungi main
Koi aa ke rok de jafa kat Raha hai baap ka gala

7
Bain kar rahi hai lut rahi hai meri duniya
Dekh kar sue furat padh rahi hai noha
Ab yateem ho rahi hai aapki sakina
Aye chacha tumhare paas ja rahe hain baba
Haan yehi mera naseeb tha

8
Lut gaya janab e sayyada ka chain waiz
Karbala main kat gaya sare hissain waiz
Ho gaye shaheed shahe mashraqain waiz
Waqt e asr gunhjta raha ye bain waiz
Kya karun main kya krun khuda khuda


Jab shahedee ke Saro tan me judai kardi
Pakdin fir shimre sitam gaar ne zulfen shah ki

Leke sarwar ke Kate sar ko sitamgar utttha
Aur shabber ke chehre pe tamacha mara

Hay jis waqt sakeena ne ye manzar deka
Ho ke behosh giri khak pe shah ki dukhya

Jab huwa gash se afaka to ajab manzar tha
Noke neza pe sakeena ke padar ka sar tha

Shor tha qaid karo ale nabi ko badh ke
Chadaren loot lo in sab ki jala do kheme

Jab yateema ne laeeno ki ye awaz suni
Hoke hairan wo khemo ki taraf daud padi

Isse pahle ke use kuch bhi samjh me ata
Shimr ne bad ke use pahla tamacha mara

Uski ankho me achanak se andhera chhaya
Muh ke bal gir gai tewra ke zami par gukhiya

Baap ke sar ki taraf dekh ke rah jati thi
Har tamache pe ye kahte huwe chillati thi
Baba baba baba

Комментарии

Информация по комментариям в разработке