Haan Tha Mera Baba Nadeem Sarwar Noha Bibi Sakina By Ali Saqalain Lyrics Babulilm Mississauga Canada

Описание к видео Haan Tha Mera Baba Nadeem Sarwar Noha Bibi Sakina By Ali Saqalain Lyrics Babulilm Mississauga Canada

Noha: Haan Tha Mera Baba
Poet: Rehan Azmi
Reciter: Ali Saqalain
Original Reciter: Nadeem Sarwar
Lyrics:
Suno ke likhta hu mai dard naak wo manzar
the ek rasan me gale baara aur barehna sar
jab aay shaam ke darbaar mein darida jigar
par'i sakina pe nagaah us shaqi ki nazar

yazeed naam tha jiska sajaay tha darbaar
liye tha god me dukhtar ko apni wo makkar


wo apni bachhi ke baalo mei haath pherta tha
laga ke seene se bachi ko pyaar se dekha
lehek ke baali sakina se wo shaqi bola
tujhe bhi baba tera aise pyaar karta tha

kaha sakina ne mai, shahe dee'n ki pyaari hu
tabaah haal hu, is dum dukho ki maari hu


tu meray baba ka gandi zubaa'n se naam na le
ghuroor itna na kar baandh kay rasan mein hume
mai kitni pyaari thi baba ki kya batau tujhe
mai bhool sakti nahi apne baba ko marke

mai jab bhi roti thi baba mujhe manata tha
banake hatho'n ko jhula mujhe jhulata tha

haan.. tha mera baba
Meray liay zinda

Haan tha mera baba


1. Mai seene pe soti thi
taskeen si hoti thi
maa banke mujhe jisne
aaghosh me paala tha

Haan tha mera baba


2. Kya puchta hai mujhse
khud puchle baba se
sar tasht mein rakha hai
wo khud hi bata dega

Haan tha mera baba


3. Mai kitni dulari hu
go dard ki maari hu
gar inko bulau mai
sar god mein aayega

Haan tha mera baba


4. Kyu mujhko rulata hai
aisa kahi hota hai
bin baap ki bacchi ko
dete hai dilasa

Haan tha mera baba


5. Teri bhi to beti hai
godi mein jo baithi hai
tu dekh use zalim
phir dekh mera chehra

Haan tha mera baba


6. Abbas agar hote
kunbe ko mere kaise
tu baandh ke rassi mein
darbaar mein laata

Haan tha mera baba


7. Ye kurta phata mera
jo khoon mein hai dooba
abbas jo dekhenge
ek hashr uthay ga

Haan tha mera baba


8. Chalta na agar khanjar
shabbir ki gardan par
hum qaid nahi hote
akbar na sina khaata

Haan tha mera baba


9. Ye khaak aseeri ki
chehro pe nahi hoti
baba mera sajde mein
gar sar na kata ta

Haan tha mera baba

10. Rehan qalam mera
Likh kar yeah bayan roya
Kaghaz pay giray ansoo
Dil dard say tar'pa

Haan tha mera baba

Комментарии

Информация по комментариям в разработке