Ilham ki Rim Jhim | Naat e Rasool | Best Naat | Famous Naat Sharif Shaheed Mohsin Naqvi Ali Saqalain

Описание к видео Ilham ki Rim Jhim | Naat e Rasool | Best Naat | Famous Naat Sharif Shaheed Mohsin Naqvi Ali Saqalain

Ilham Ki Rim Jhim Kahin Bakshish Ki Ghata Hai

Recited by: Ali Saqalain
Poetry: Shaheed Mohsin Naqvi

----------------------------------------------------------------------------------------------------

Lyrics:
ilhaam ki rim jhim kahain' , bakhshish ki ghata hay
Yeah dil ka nagar hay kay madinay ki fizaa hay

Rug rug nay samaiti hay teray naam ki faryaad
Jub jub bhi peraishan' mujhy duniya nay kia hay

Ab aur bayaan' kia ho kisi say tere midhat
Yeah kam to nahi hay kay to mahboob e khuda hay x 2

Ay gumbad e khizra kay makeen' meri Madad kar
Ya phir yeah bata kon mera teray siwa hay

Ayaat kay jhurmat may teray naam ki masnad
Lafzon' ki angothi may nageena sa jar'a hay

Aik baar tera naqsh e qadam choom liya tha
Ab tak yeah falak shukar kay sajday may jhuka hay

Sooraj Ko ubharnay nahi daita tera habshi x 2
Bay zar ko Abuzar tere bakhshish nay kia hay x 2

Saqalain ki qismat tere dahleez ka sadqa x 2
Aalam ka muqaddar teray hathon' pay likha hay

Utray ga kahan' tak koi ayaat ki tah may
Quran' tere khatir abhi masroof e sana hay

Bakhshish tere abroon' ki taraf daikh rahi hay x 2
Mohsin teray darbaar may chup chaap khara hay x 2

Комментарии

Информация по комментариям в разработке