Tiflan E Muslim Noha | Muslim Ke Dulare Hain - Waiz Hasan Sultanpuri

Описание к видео Tiflan E Muslim Noha | Muslim Ke Dulare Hain - Waiz Hasan Sultanpuri

2 Moharram 2023/1445 - Bara Imambargah

Title - Pardes hai ghurbat hai Muslim ke dulare hain - New Noha 2023
Recited by- Anjuman Sipah-e-Hussaini, Bhanauli Sadat
Related to Tiflan E Muslim
Location- Bara Imambargah, Bhanauli Sadat - Musafirkhana, Amethi
Posted by- Azadari Bhanauli

𝗟𝘆𝗿𝗶𝗰𝘀 ✍︎

Pardes hai ghurbat hai Muslim ke dulare hain - 2

Hai door watan dono taqdeer ke mare hain

(1)
bichhda hai pidar jab se dono pe musibat hai
Bhuke hain kayi din ke aur pyas ki shiddat hai
Jayen to kanha jayen ye soch ke rote hain
Pardes hai gurbat hai-------

(2)
Hal apna sunane ko hamdard kanha payen
Anjan hain kufe se jayen to kanha jayen
Chhup chhup ke wo pardesi din rat bitate hain
Pardes hai ghurbat hai-------

(3)
Chhote ko bada bhai godi me uthata hai
Bhai ka safar bhai asaan banata hai
Mil jayega ab rasta ye soch ke chalte hain
Pardes hai ghurbat hai -------

(4)
Taqdeer yateemo ko din rat satati hai
Aur bap ki furquat bhi dono ko rulati hai
Kufe me bhatakte hain aur ashk bhate hain
Pardes hai ghurbat hai-------

(5)
Hai dono ke bal uljhe kapde bhi hue maile
Koi bhi nahi aisa akar ke jo ye poochhe
Ye soye nahi kb se aur kab ke ye jaage hain
Pardes hai ghurbat hai-------

(6)
Ek pal bhi ajal inke picche se nahi hat ti
Aur ranj o musibat ki badli bhi nahi hat ti
Do phool se bacche hain aur maut ke saye hain
Pardes hai ghurbat hai-------

(7)
Wo dono musafir the Pardes me be waris
Jab kar ke giraftari le kar ke chla Haris
Rukh kar ke madine ka
Amma ko bulate hain
Pardes hai ghurbat hai-------

(8)
Haris ne yateemon par Waiz jo sitam dhaye
Wo zulm Ali kaise rah rah ke na yad aye
Talwar hai zalim ki aur chand se bacche hain
Pardes hai ghurbat hai-------

پردیس ہے غر بت ہے
مسلم کے د لادے ہیں-۲

ہے دور وطن دونوں تقدیر کے مارے
ہیں
پردیس ہے غربت ہے -------

(۱)
بچھڑا ھے پدر جب سے دونوں پہ مصیبت ہے
بھوکے ہیں کئ دن کے اور پیاس کی شدت ہے
جائیں تو کہاں جائیں یہ سوچ کے روتے ہیں
پردیس ہے غربت ہے-------

(۲)
حال اپنا سنانے کو ہمدرد کہاں پائیں
انجان ہیں کوفہ سے جائیں تو کہاں جائیں
چھپ چھپ کے وہ پردیسی دن رات بتاتے ہیں
پردیس ھے غربت ھے-------

(۳)
چھوٹے کو بڑا بھائی گودی میں اٹھاتا ہے
بھائی کا سفر بھائی آسان بناتا ہے
مل جائیگا اب رستہ یہ سوچ کے چلتے ہیں
پردیس ھے غربت ھے-------

(۴)
تقدیر یتیموں کو دن رات ستاتی ہے
اور باپ کی فرقت بھی دونوں کو رلاتی ہے
کوفہ میں بھٹکتے ہیں اور اشک بہاتے ہیں
پردیس ہے غربت ہے-------

(۵)
ہے دونوں کے بال الجھے کپڑے بھی ہوۓ میلے
کوئی بھی نہیں ایسا آکر کے جو یہ پوچھے
یہ سوۓ نہیں کب سے اور کب کے یہ جاگے ہیں
پردیس ہے غربت ہے-------

(۶)
اک پل بھی اجل ان کے پیچھے سے نہیں ہٹتی
اور رنج و مصیبت کی بدلی بھی نہیں ہٹتی
دو پھول سے بچے ہیں اور موت کے ساۓ ہیں
پردیس ہے غربت ہے-------

(۷)
وہ دونوں مسافر تھے پردیس میں بے وارث
جب کر کے گرفتاری لے کر کے چلا حارث
رخ کر کے مدینہ کا اماں کو بلاتے ہیں
پردیس ہے غربت ہے-------

(۸)
حارث نے یتیموں پر واعظ جو ستم ڈھاۓ
وہ ظلم علی کیسے رہ رہ کے نہ یاد آئے
تلوار ہے ظالم کی اور چاند سے بچے ہیں
پردیس ہے غربت ہے-------..

Video Access-
Pardes hai ghurbat hai Muslim ke dulare hain l Waiz Sultanpuri Ayyame Aza 2023, Azadari Bhanauli, Anjuman Sipah-e-Hussaini Bhanauli Sadat, Zuhair Qain, Abutalib Rizvi, Haider Raza, Bhanauli Sadat

►Social Media:-
Subscribe :    / azadaribhanauli  
Want to chat? Hit me up on social media!
Instagram:   / iamrizvi  
Facebook:   / bhanaulisadat  

Комментарии

Информация по комментариям в разработке