Akbar Ki Laash Par Ye | Abid Haider Sultanpuri Nohay 2022 | Noha Shahadat Ali Akbar (as) 2022/1444

Описание к видео Akbar Ki Laash Par Ye | Abid Haider Sultanpuri Nohay 2022 | Noha Shahadat Ali Akbar (as) 2022/1444

Akbar Ki Laash Par Ye 2022 | Noha Shahadat Ali Akbar 2022 Abid Haider Sultanpuri Nohay 2022 | New Noha 2022/1444

New Noha 2022/1444 Akbar Ki Laash Par YeKehti Thi Umme Laila | Abid Haider Sultanpuri
#shahadataliakbar #newnoha2022 #abidhaidersultanpuri #nohay2022 #noha2022

Title -Noha Shahadat Hazrat Ali Akbar(a) | Noha 1444/2022
Reciter - Abid Haider Sultanpuri
Poetry - Yaqoob jarchvi
Audio - Javed Azad
DOP - Zahid Ali
Camera - Mohd Nazim
Video & Production - @Azadari Chitora

Lyrics:-

Akber ke lash par ye kehti thi umme laila
Tum mar gye aye beta ma reh gye hai zinda
Guzre ga rote rote mera har ek lamha
Tum mar gye aye beta maa reh gye hai zinda.....
1
Jis dam husain aye lasha tumhara lekar
Lashe ke pas tak mein pauhchi sahara lekar
Aankho"n ke saamne tha har su meri andhera.
Tum mar gye aye beta......
2
Bete ki lash maa"n ko allah na dekhaye
Apne pisar ka lasha ek baap na uthaye
Maa"n baap se na bichde kadiyal jawa"n beta
Tum mar gye aye beta.........
3
Har ek maa"n ke dil mein hoti hai ye tamanna
Sar par sajaye sehra ek roz mera beta
Lekin na dekh paye ye maa"n tumhara sehra
Tum mar gye aye beta........
4
Aansu"n Khushi ke apni ankhon se mein bahati
Beta agar tumhari baraat ghar se jati
Ankhon ke samne hai Lekin tumhara lasha.
Tum mar gye aye beta....
5
Ek baap ko rulaya ek maa"n ke dil ko toda
Gurbat mein sath tumne maa"n baap ka hai choda
Rote hain sar jhukaye dekho tumhare baba
Tum mar gye aye beta........
6
Gam se bachaye rakha aye mere lal tumko nazo"n se mein ne pala attahra saal tumko
Barchi ne kar diya par zakhmi tumahara sina
Tum mar gye aye beta....
7
Sham-O-sehar tumhara mein marsiya padhungi
Akber bina tumharee mein gi nahi sakungi
Le lega jaan meri ek din tumhara Sadma
Tum mar gye aye beta maa......
8
Yaqoob aur abid khaime mein thi qyamat
Seene se thi lgaye ek maa"n pisar ke mayyat
Ankhon mein ashq the aur honthon pe tha ye nauha
Tum mar gye aye beta..........

Комментарии

Информация по комментариям в разработке