Mai Asghar Teri Maa Hoon | Noha 2024/1446 | Murtuza Jazib | Noha Ali Asghar (As) |

Описание к видео Mai Asghar Teri Maa Hoon | Noha 2024/1446 | Murtuza Jazib | Noha Ali Asghar (As) |

Title :
Mai Asghar Teri Maa Hoon
Noha : Ali Asghar a.s

Reciter : Nohakhwan Murtuza Jazib
Poet : Sahil Cholasi
Composition : Mehdi Hussain & Irfan Hyder
Central Idea : Team Murtuza Jazib
Translation : Syed Razi
Chorus : Team Rizwan Mirza
Audio : Tee Zee Production
Lightings : M-Square
Camera, editing & creativity : M-Creatives
Support : Hai'at e Karbala, Alipur

KALAM LYRICS :-
(Noha Hazrat Ali Asghar a.s)

(MATLA)
MAI ASGHAR TERI MAA'N HOON,
MAIN ASGHAR TERI MAA'N HOON

(SANI)
Seene se tujhko lagaon,
Rukhsaar tere sahlaon × (2)
Mai tere naaz uthaoon...

(1)
Maa'n kaise jiyegi beta,
Bin tere akele ghar mein,
Jhoole ki veerani ka,
Dekhoon kaise manzar mein,
(Ab kisko Lori sunao,n)

(2)
Jab sham e ghareeb'n aayi,
Thoda sa mila tha pani,
Yaad aayi sabhi ko teri,
Aye laal wo tashna dahani,
(Kaise wo waqth bhulaon)

(3)
Pani ki sakina ne bhi,
Ek boondh nahi payi hai,
Apne hisse ka kooza,
Teri qabr pe rakh aayi hai,
(Usko kaise behlaon)

(4)
Har samth pade hain lashe,
Kya neend tujhe aayegi,
Garmi se sulagti reti,
Tere zakhm mein bhar jayegi,
(Kaise tujh ko mai bachaoon)

(5)
Tune bhi suna toh hoga,
Sughra ka khat aaya hai,
Beemar bahen ne tera,
Ek kurta bhejwaya hai,
(Ab wo kis ko phehnaon)

(6)
Bin tere ab jeena hai,
Dushwaar gale se lagja,
Maa phir na milegi beta,
Ek baar gale se lagja,
(Mai bahon ko phai'laon)

(7)
Dil ko dehlane wala,
Dekha hai wo manzar beta,
Zalim ne pakard kar zulfen,
Kata jo tera sar beta,
(Uss sar ke sadqe jaon)

(8)
Ab rok qalam ko Sahil,
Ankhon se ashk haiñ jaari,
Taa umr pisar ko royi,
Jazib ek maa dukhyari,
(Kehti thi kahan se paon)

(END)

Комментарии

Информация по комментариям в разработке